Mere ashqon ka har qatraa,
Tere Mohabbat ki nishaani hai,
Jo tu samjhe to moti hai,
Tu na samjhe to paani hai
Mere ashqon ka har qatraa,
Tere Mohabbat ki nishaani hai,
Jo tu samjhe to moti hai,
Tu na samjhe to paani hai
Badal garaja magar barsaat nahi aayi,
Dil dharka magar aawaz nahi aayi,
Pura din guzarane ko hai dost,
kya ek baar bhi meri yaad nahi aayi?
Chiraghon ki roshni jab zara hili,
Laga tumhari ek aahat si mili,
Jaake dekha jab dar pe,
To phir wahi kafir hawa mili..
Laho main rang ki tarah basa hay tera khayal
Main kis tarah teri yaadon say fasla rakhon…
Kisi bhi shakhs say koi gharz nahi mujh ko
Main sirf teray liyay sub say raabta rakhon…
Kabhi kabhi aisa bhi hota hay,
Dosti ka asar zara dair say hota hay,
Aap ko lagta hai hum kuch nahin sochte ap k bare main.
Per hamari her baat main aap ka hi ziker hota hai..
Ghum ki aahat na aaye tere dar par,
pyar ke samander ka tum bhi ek kinara ho,
bhool se jo tapke teri aankhon say moti,
thamay wohi jo tumhain sabse pyara ho..
Unhone Apna Kabhi Banaya Hi Nahi,
Jootha Hi Sahi Pyar Dikhaya Hi Nahi.
Galtiyan Apni Hum Maan Bhi Jaatey,
Par Kya Kare Kasoor Hamara Hume Bataya Hi Nahi.
Rasm-e-ulfat sikha gaya koi,
Dil ki duniya pe chha gaya koi,
Taa qayamat kisi tarah na bujhe,
Aag aisi laga gaya koi…
Sochta hoon in sagar ki lehro ko dekh kar,
Kyon yeh kinaro se takra kar palat jati hain,
Karti hain vo kinare se bewafai ya fir sagar se wafa nibhati hain………….?
Jinho nay khaa rakhi hai kasam mujh ko mitaanay kee,
Phir bhi unhi say pyaar kar raha hun main,
Maloom hai na aayegi kabhi waqt say pehlay,
Phir bhi apni maut ka intezaar kar raha hun main,