SMS4Life

Best funny sms text messages and jokes collection




Tag: romantic shayari

Humsafri ka bojh uthana parta hai

Humsafri ka bojh uthana parta hai,
Dil ko duh ke sath chalana parta hai,

Hum jese awaara dil logon ko bhi,
Koi na koi qaul* nibhana parta hai,

Kabhi kabhi ik dard bhari siskaari se,
Khamoshi ko zakham lagana parta hai,

Sanattey mehfooz rakhe hain seeney mein,
Weeraani ka hath battana parta hai,

Pehle karna parta hai ik jungle saaf,
Uss ke baad ik sheher basaana parta hai,

Roz humain yadon ke ghaur samandar mein,
Raat gaye ik deep jalana parrta hai,

Pardon ka ik khail sajaana parta hai,
Aik uthaana aik giraana parta hai,

Tanhai mein bhi rehna majboori hai,
Logon mein bhi aana jana parta hai..

A Ghazal by Husband

Jab se begum ne mujhe murgha bana rakha hai,
Main ne nazron ki tarhan sir bhi jhuka rakha hai,

Bartano aaj mere sir pe baraste kion ho ?
Mein ne dho dha k tumhain kitna saja rakha hai,

Roz leti he talashi wo police ki manind,
Pochti he kahan paison ko chupa rakha hai,

Wahi duniya main muqaddar ka sikandar tehra,
Jis ne khud ko yahan shadi se bacha rakha hai,

Pi ja is maar ki talkhi ko bhi has k shohar,
Mar khane mein bhi qudrat ne maza rakha hai..

Tu Ne Jo Chonk Kar Her Simth Nigah Ki Hogi

Tu Ne Jo Chonk Kar Her Simth Nigah Ki Hogi
Mere Hi Dard-e-Mohabbat Ne Sada Di Hogi

Ye Jo Moti Baraste Hey, Teri Yaad Mein Aksser
Badloon Ne Meri Aankhon Ko Dua Di Hogi

Jhilmillati Hooye Ek Baat Jo Sochi Mene
MeMoN Ne Jaake Ussay Zaroor Bata Di Hogi

Ziker Aaya Jo Kabhi Mera Uss Ki Mehfil Mein
Khefiyet Mittane Ko Uss Ne Baat Ghhuma Di Hogi

Wo Rah Se Guzrey Bhi Plutt Ker Bhi Na Dekhe
Aakhiri Ummed Mareez-e-Ishq ki Bujha Di Hogi

Dill Saada Tu Barra Khush Fehum Hey Lekin MeMoN
Uss Ne Soorat Bhi Teri Kab Ki Bhulla Di Hogi

Naam Koi Bhi Na Le Meri ZINDAGI ka Yahaan
Shehar Mein Uss ne, Yeh MaNaDi karwa Di Hogi

Ghair Ki Nazron Se Wo Khud Ko Bachati Thi Bahut

Khuwaab Min Aa ker Wo Meri Neend Uraati Thi Bahut,
Her Ghari Wo Dekh kar Muskurati Thi Bahut,

Chor Hi Dena Pada Ghabra kar Us k Shaher Ko,
Yaad Uski Raat Din Mujh ko Rulati Thi Bahut,

Apni Baahon Me Jab Jakar Leti The Ranjo Alam,
Aa k Ek Andaaz Me Mujh ko Hansaati Thi Bahut,

Apne Dil Ki Baat Wo Mujhse Kabhi Kehti Na Thi,
Dusron K Pyaar Ke Qissey Sunati Thi Bahut,

Chahti Thi Sirf Meri Hi Nazar Us per Parey,
Ghair Ki Nazron Se Wo Khud Ko Bachati Thi Bahut,

Din To Kat Jata Tha Mera Doston Ke Saath Mein,
Raat Me Lekin Wo Mujh ko Yaad Aati Thi Bahut.

Kisi se pyar kertay ho

Kahan dil chor aye ho,
bohut chup chap se rehtay ho,

Na bante ho na sanwarte ho
na koi bat karta ho

Bhari mehfil main bhi aksar
hamesha khoay rehtay ho

Udasi aankho main le kay
her ek chehre ko takte ho

Koi jab yaad aata hai to
Thundi aah bharte ho

To khul kar kion nahin kehtay
Kisi se pyar kertay ho

Jo guzar gia woh guzar gia

usey yaad ker k na dil dukha, jo guzar gia wo guzar gia,
kahan lout ker koi ayai ga, jo guzar gia wo guzar gia,

Nayai subah hay, nayai shaab hay, naya shahar hay, naya naam hai,
Woh chala gaya usay bhool jaa, jo guzar gia woh guzar gia,

Koi ayai ga koi jayai ga, koi jayai ga koi ayai ga,
Suno raston ki sada, jo guzar gaya wo guzar gia,

Teray paas tera habai hay, jo nahin mila woh naseeb hay,
Koi phool kehta hai muskura, jo guzar gaia woh guzar gia,

Mujhey pat jharon ki kahanian na suna suna kay udaas ker,
Nayai mausamon ka pata bata, jo guzar gia wo guzar gia,

Yahan aetbar-o-yaqeen hai, yeh haqiqaton ki zameen hay,
Zara dair ka koi khuwab tha, jo guzar gia wo guzar gia

Apna Ehsas mar na jaye kahin

Apna Ehsas mar na jaye kahin
Dard had se Guzar na jaye kahin

Un ko dekhey hoye hoi Sadyan
Un ka Chehra bikhar na jaye kahin

Ab k Awaz doon to aa jana
Dil Deewana Sudhar na jaye kahin

Un ka Wada to hai magar Dil ko
Darr hai k kafir mukar na jaye kahin

Dard, Jugnoo, Hawa, Giley Shikwey
Yeh Mukaddar Sanwar na jaye kahin

Meri Dunya hai Dard ki Surat
Gul ki Surat Nikhar na jaye kahin

Khak se Aab tak to aa pohnchey
Ab yeh Darya Utar na jaye kahin

Yeh Mohabbat b ek Bala theri
Hum ko Darr hai wo Darr na jaye kahin

Is liye Muskuraye phirta hoon
Un ki Aankh b na bhar jaye kahin

Dil se guzra to hai magar Saqi
Apni Jaan se guzar na jaye kahin

Haath us ney Mera Thama Ho ga

Aaj jo Tanha hai Woh Pardes Mein
Zaroor Mujh ko us Ney Socha ho ga

Khuvabon aur Khyaalon Mein
Mera hi Chehra Tarasha Ho ga

Raah Chaltey jo us ko
Mera khyaal Aaya Ho ga

Aik Nazar Ruk ke Asmaan Pe Chand ko Dekha Ho ga
Jab Saath They to Roz hi larti Thi Mujh sey

Ab Din Mein so Baar khud peh Bigarti Ho gi
Mail Box Kholtey hi Naam mera Dhondti Ho gi

Aur na Pa ke Mujhey

Aap hi Aap Mujh sey Roth ti Ho gi
Zaror Masrof Hon buhat ya koi Test hai Mera

Tawelein Ghurr ke khud hi Behal ti Ho gi
Tanha Sard Raat Mein

Yuon hi Sarak peh Tehaltey Huvey
Khyaalon hi Khyaalon Mein

Haath us ney Mera Thama Ho ga

Phir Kisi Pool ke Nechey Ruk kar
Aankhon Mein Mere us ney Jhaanka Ho ga

Woh pathar dil sahi hamara bhi ye dawa hai

Woh pathar dil sahi hamara bhi ye dawa hai
Hamaray lab jinhe chu le wo pathar bol utte

Raaz-e-hasti kuch nahi aksar yehi dekha gia
Be-khabar hanste rahe aur ba-khabar rote rahe

Me khanay ki tauheen hai rindo ki hatak
Kam zarf ke haath me agar jaam diya jayai

Hum karain baat daleelon se to rud hoti hai
Is ke honton ki khamoshi bhi sanad hoti hai

Abhi mitti na khunki thi abhi paani na barsa tha
Magar bazm-e-anasir me tere hone ka charcha tha

Tum aa ker mujhi say chura lou mujhey

Kaisay kahoon k apna bana lou mujhey
bahoun mein apni sama lou mujhey

Bin tumharey aik pal bhi ab kat-ta nahin
Tum aa ker mujhi say chura lou mujhey

Zindagi tou woh hai sang tumharey jo guzrey
Dunya kay gamoun say ab chura lou mujhey

Meri sab say gehri khuwahish hou puri
Tum agar pass apnay bula lou mujhey

Yeh kaisa nasha hai jou behka raha hai
Tumhara hoon mein tou sambhalo mujhey

Najanay phir kaisay guzrey gi zindagani
Agar apnay dil say kabhi tum nikalo mujhey

SMS4Life © 2018 Frontier Theme