Woh humein bhulane ki baat karte hain,
Zara pucho humein kitna Yaad karte hain,
Chehre pe hasi ka dikhawa hain,
Magar Tanhaii mein Aansuon se Fariyaad karte hain.
Tag: love poems for her
Intezar to sab kartay hain
Jo hud say na guzar jaye wo pyar hi kiya
Jo pyar karnay pay majboor na kar day wo iqrar hi kia,
Intezar to sab kartay hain,
saansain tootnay tuk Jo sath na day woh yaar hi kia
jaise sukhe gulab milte hain kitabo me
barso baad na jaane kaun kaha hoga,
hum dono me se na jaane kaun kaha hoga,
phir milna hua to milenge khwabo me,
jaise sukhe gulab milte hain kitabo me
Uski yaad her pal aa jaati hay…
Kion kisi ki khamoshi mujhey khamosh ker jati hay,
Kion uski udasi mujhey udas ker jati hay,
Kia rishta hay uska mera jo mujhey,
Uski yaad her pal aa jaati hay…
Sambhalay rakhna us amanat ko
Aye khuda teri mehfil me
haath uthaye fariyaad karte hai,
sambhalay rakhna us amanat ko
jise hum tanhai me yaad karte hai.
(’_’)
Doorie ho to phir AHSAS hota hai
Doorie ho to phir “AHSAS” hota hai,
“DOST” k bina jeevan “UDAAS” hota hai,
“UMER” ho aap ki sitaron jitni lambi
aisa “DOST” kahan aur kisi k “PAAS” hota hai
Yaado main kabhi aap bhi khoye honge
Yaado main kabhi aap bhi khoye honge
Khuli aankho se kabhi aap bhi soye honge
Maana hasna hai aadat ghum chupaane ki
Par haste haste kabhi aap bhi roye honge
Pyar chupta nahi ankhen chupane se
Arz hai
pyar chupta nahi ankhen chupane se,
dil rukta nahi kisi k samjane se.
Ruk jati hai dhadkan tujhe bhul jane se,
hum tujhe yaad karte hai jeene k bahane se.
Phir bhi aap nay door samajh liya
Khamosh thay hum to magroor samaj liya,
Chup hai hum to majboor samaj liya,
Yehi aap ki khushnasibi hai ke hum itne qarib hain,
Phir bhi aap nay door samajh liya.
KHUSHI se dil ko aabad karna
KHUSHI se dil ko aabad karna
GHAM ko dil se aazad karna
Bas itni guzaarish hai aapse k
ho sake to din mein ek baar yaad zaroor karna