Na gulfaam chahiye,Na salaam chahiye,
Na mubarak ka koi paighaam chahiye,
Jisko pee ker hosh urr jayain,
Labon ko aisa jaam chahiye….
Na gulfaam chahiye,Na salaam chahiye,
Na mubarak ka koi paighaam chahiye,
Jisko pee ker hosh urr jayain,
Labon ko aisa jaam chahiye….
Kanton mein rehkar bhi Zindagi ji lete hain,
Har Zakhm ko apne hathon se si lete hain,
Jiss hath ko keh diya apno ka hath,
Uss hath se hum Zeher bhi pi lete hain,
Badban khulnay say pehlay ka ishara dekhna
Main samandar dekhta hoon tum kinara dekhna
Yoon bicharna bhi buhat asan na tha tum sa magar
Jatay jatay uska woh murd ker dobara dekhna.
Har taraf noor hai khusboo hai
Teri ankhon mein kaisa jadoo hai
Sari duniya hai meri jholi mein
Aur duniya meri bas tu hai
Har waqt tum ko yaad karta hu,
Ha main tumsein pyaar karta hu,
Kyun tum mujhse khafa ho,
Main tumhi pai to marta hu.
I love you
Mere alfazon ko juth mat samajhna,
yaad aati hai bahut jaldi milne ki dua karna,
ji raha tha tumhare naam par,
mar jau toh bewafa mat samajhna
Us ki yaadon main,
Us ki baaton main,
Kahin mera aqs bhi jhilmilata hoga,
Lakh masroof hoga,
Apnay kamoon main,
Phir bhi hamain soch ker
kabhi to muskurata ho ga.
Haalat pay meri hasnay hasaney aaja,
jhooti hi sahi par sachi ansoon bhane aaja
khuwab ko kiya sajana,woh toh bhikar gaye
ana hai agar toh meri zindagi swaarne aaja!
Aapki muskan hamari kamzori hai,
Keh na pana humari majboori hai,
Aap kyun nahi samajhte is khamoshi ko,
Kya khamoshi ko bhi zuban dena zaroori hai.
Kisi mor pe ham ap ko khoney nahi denge..
Juda hona chaho to honey nahi denge…
Chandni raton man aye gi meri yad…
Meri yad k wo pal ap ko soney nahi denge