Kaash woh naghmay hamain sunaye na hote,
Aaj unko sun kar yun aansu aaye na hote.
Agar isi tarah bhool hi jaana tha,
To itni gehrai se dil me samaye na hote.
Kaash woh naghmay hamain sunaye na hote,
Aaj unko sun kar yun aansu aaye na hote.
Agar isi tarah bhool hi jaana tha,
To itni gehrai se dil me samaye na hote.
Kyu dil k mere tukray kar diye,
kyu mere aansu ko apni muskan sey baha diye,
gunah kya tha mera bus chahna tumhain,
kyu meri zindagi me tune dard bhar diye
Zakham aisa diya k koi dawa kaam na aayi,
aag aise lagayi ki paani se bhi bhuj na payi,
aaj bhi rote hain unki yaad main,
jinhe hamari yaad hamare guzar jane par bhi na aayi
zindagi ka asli mukam abhi baki hai,
hamare iradon ki imtihan abhi baqi hai,
abhi to naapi hai muthi bhar zameen,
aage sara asman baki hai…
Tairi jheel si gehri aankhon
ko jo neel-e-kanwal keh doon,
Duniya jal jayai gi,
jo tujh per ghazal keh doon…
Har khushi dil ke karib nahi hoti,
zindagi ghamon se dur nahi hoti,
ae dost is dosti ko sanjokar rakhna,
aisi dosti har kisi ko nasib nahi hoti
Dil mey KHUDA hain,
Aankh mey NASHA hain,
Baat mey MAZAA hain,
Chaal mey ADAA hain,
Andaaz bhi JUDAA hain,
Pyar mey WAFAA hain!
Arrey…. isiliye toh
sab log Mujh per FIDAA hain…
Shayari main dimagh nahin dil zarori hay,
Kuch jigar ka khoon ho shamil zarori hay,
Sirf lafzon ki tukbundi shayari nahin hoti,
Shair ho dil pay lagnay k qabil zarori hay…
Tamam gham bhool janey ko G karta hai aaj,
Muskuranay ko G karta hai,
Bohut G liiye sahare aap ki yadoon k,
Aaj aap k paas aaney ko G karta hai
Waqt guzrey ga hum bikhar jayenge,
kaun jane ke hum kidhar jayenge,
hum apki parchayi hain yaad rakhna,
jahan tanhai mili wahan hum nazar ayenge