SMS4Life

Best funny sms text messages and jokes collection




Tag: urdu love poetry

A Ghazal by Husband

Jab se begum ne mujhe murgha bana rakha hai,
Main ne nazron ki tarhan sir bhi jhuka rakha hai,

Bartano aaj mere sir pe baraste kion ho ?
Mein ne dho dha k tumhain kitna saja rakha hai,

Roz leti he talashi wo police ki manind,
Pochti he kahan paison ko chupa rakha hai,

Wahi duniya main muqaddar ka sikandar tehra,
Jis ne khud ko yahan shadi se bacha rakha hai,

Pi ja is maar ki talkhi ko bhi has k shohar,
Mar khane mein bhi qudrat ne maza rakha hai..

Mohabbaton k baad bhi..

Main usay kaise aikaila chor don is rah main
sath jo chalta raha majboriyon k baad bhi.

ban k khusboo rach gya hy yun mere ehsas main
door ho paya nahi woh dooriyon k bad bhi

rafta rafta us ko bhi ye duniya ra’as aa gye
muskra k woh mila hy ranjishon k bad bhi

fasly kb kum howay hain rabton k bad bhi
ajnabi thay ajnabi hain “mohabbaton” k baad bhi

Baaton baaton main bicharney ka ishara karkey

Baaton baaton mian bicharney ka ishara karkey
Khud bhi roya woh buhat ham se kinara karkey

Sochta rehta hoon tanhai main anjam-e-khuloos
Phir usi jurm-e-mohabbat ko dobara karkey

Jagmaga di hain terey shehrer ki galiyan main ne
Apney askhon ko palkon pe sitara karkey

Dekh letey hain chalo hosla apne dil ka
Aur kuch roz tere saath guzara karkey

Aik hi sheher main rehna hai magar milna nahi
Dekhtey hain yeh aziyat bhi gawara karkey

Jo na mil saka wo baywafa

Jo na mil saka wo baywafa
yeh bare ajeeb si baat hai

jo chala gaya mujhay chor kar
wohi aaj tak mere saath hai…

Wo roshni kay khayal main
wo na asaka raah mian muntazir

yeh khalish kahan thi visaal main
mere justojoo ko khabar nahi

na wo din rahay na wo raat rahay
jo chala gaya mujhay chor kar

wohi aaj tak mere saath hai..
Kary pyar lab pay koi gila na hoo

yeh kissi kissi ka naseeb hai
yeh karam hai uski jafa nahi

wo juda bhi rehkay qareeb hai
wo aankh hai mere ru baru

ussi haath mein mera haath hai
jo chala gaya mujhay chor kar

wohi aaj tak mere saath hai
mera nam tak jo na lay saka

jo mujhay qarar na day saka
jissay ikhtiyaar tau tha magar

mujhay apna pyar na day saka
wohi shakhs mere talassh hai

wohi dard mere hayaat hai
jo chala gaya mujhay chor kar
wohi aaj tak meray saath ha

Meri pagal mohabbat tumhein yaad aye gi

Meri pagal mohabbat tumhein yaad aye gi,

Jab chand sitare chamak rahe hon,
Jab yadon k phool mehek rahe hon,
Jab deed ko nain taras rahe hon,
jab ankhon se ansu baras rahe hon,

Meri pagal mohabbat tumhein yaad aye gi

Jab tanhai se dil ghabrae ga,
Jub tumhein akela pan sataye ga,
Jab koi khuab he na aye ga,
Jab phool kitab mein he reh jayenge,

Meri pagal mohabbat tumhein yaad aye gi

Pyar chupta nahi chupanay say

Laakh miltay hain hum bahanay say
Pyar chupta nahi chupanay say

Ummar guzari hay dar-badar apni
Hum hillay thay zara thikanay say

Aik jadu sa kar gaye mujh par
Kuch makaan thay puranay say

Baat karta raha main us say magar
Baat banti nahi bana’nay say

Ho jo mumkin to yeh bhi kar dekho
Tum nikalo humain fasanay say

Meri chahat main bhi woh baat na thi
Woh bhi rukhsat hua bahanay say

Yeh bhi rakha hay dhiyaan main hum nay
Teer palta agar nishanay say…!!!

ik bar mujh say door ja k daikh kabhi

behar-e-ishq main doob k daikh kabhi
jaam-e-mohabbat pee k daikh kabhi

her taraf tera hi aks nazar ayai ga
meri aankhon mein pyar say daikh kabhi

ghuror hay tujhey apni zulfon ki cha’aon ka
meri palkon ki chaon mein baith k daikh kabhi

kaisi hoti hay tapish zamanay ki nigahon mein
meray dil k aangun say bahar aa k daikh kabhi

kitni hoti hay mithas jazba-e-dar guzar main,
kisi rothay howay ko mana k tu daikh kabhi

kerti hay kaisay khushu gul say parwaz
ik bar mujh say door ja k daikh kabhi

KOI TO HOTA….

KOI TO HOTA….
mai jis k dil ki kitaab benta
mai jis ki chahet ka khawab benta
mai hijr k mosem ki lembi raaton mein
yaad ben ker azaab benta
KOI TO HOTA…..

jo meri khawahish mein uthh ker raaton ko khoob rota
dukhon ki chader lapeit ker hajoom_e_dunya se door hota
mai rooth jata manata mujh ko
k chahe mera kasoor hota
KOI TO HOTA….

mai jis k itna kareeb hota
na paas koi rakeeb hota
mai itna uus ka habeeb hota
ye silsila bhi ajeeb hota
KOI TO HOTA……..

Hum jheel kinare ja baithen

Kabhi waqt mile to aajao,
Ham jheel kinare ja baithen,

Tum apne sukh ki baat karo,
Hum apne dukh ki baat karain,

Aur un lamhoon ki baat karain,
Jo sung tumhare beet gaye,

Aur ehd-e-khizan ki nazar howy,
In sabz ruton k daman mai,

Hum pyar ki khushbo mehkain,
In bikhray sabz nazaron ko,

Ham aankhon men tasveeer karain,
Phir apne pyar k jado se,

Hum lamhoon ko jageer karain,
Kabhi waqt milaye to ajao…

Hum jheel kinare ja baithen

Youn to shikayat khud say roz kia kertay hain

Youn to shikayat khud say roz kia kertay hain,
Shaam hotay hi khud ko rok lia kertay hain

Jaisay mujrim hay bina jurm karay koi,
Aisa woh hum say sulook rawan rakhtay hain,

Ho na jayai kahin un ka dedar hamain,
Is liyay chehray ko chupa rakhtay hain,

Na koi dost na sathi jub apnay paas ho,
Aisay main aankh say aansu rawan rakhtay hain,

Yeh dil tou hay nadaan laikin,
Hum bhi mohabbat per pukhta yaqeen rakhtay hain…

SMS4Life © 2018 Frontier Theme