Sitam ko humne berukhi samjha
Pyaar ko humne bandagi samjha
Tum chahe hume jo bhi samjho
Par humne to tumhe apni zindagi samjha
Tag: urdu poetry
Baatein karke bhola na dena
Baatein karke bhola na dena,
Fasana karke mita na dena,
Agar day sako dosti to gham nahi,
Par dost banke bhola na dena.
Suraj roshni le kar aayaa
Suraj roshni le kar aayaa,
Aur chidyon ne gaanaa gaayaa,
Phoolon ne hans hans kar bolaa,
Mubarak ho tumhaara janam din aaya!
Nazar ne Nazar se mulaqat kar li,
Nazar ne Nazar se mulaqat kar li,
Rahe dono chup par bat kar li,
Khushiyon ka mausam kuch iss kadar badla,
Ki in aankhon ne ro-ro kar barsaat kar li.
Tum joo kahooo woh har khuwaish puri ho tumhari…
Tum joo kahooo woh har khuwaish puri ho tumhari…
Khuda say bhi bus yahi duaa hai humari….
is se zyada unka intzaar kya karain
Zakham itna gehra hai izhaar kya karain
hum khud nishana ban gaye vaar kya karain
soo gaye hum magar khuli rahi aankhen
is se zyada unka intzaar kya karain?
Yaad karnay ki aadat nahi hai,
Yaad karnay ki aadat nahi hai,
Hume bhulaane ki ijazat nahi hai,
Mubarak ho tum ko ye aadat tumhari,
Hume tum se koi shikayat nahi hai.
Nigahain mila kar kiya dil ko zakhmi,
Nigahain mila kar kiya dil ko zakhmi,
Ada’ain dikha kar sitam dhaa rahi ho,
Wafaaon ka khoob sila diya,
Ab tadapta hua chor kar jaa rahi ho.
Muskura do zara khuda ke vaste,
Muskura do zara khuda ke vaste,
sama-e-mahefil mai roshni kam hai,
tum hamare nahi to kya ghum hai,
hum tumhare to haiN ye kya kam hai?
Kitna bebas hai insaan kismat ke aage
Kitna bebas hai insaan kismat ke aage,
kitne door hai sapna haqiqat ke aage,
koi ruki hui dhadkan se puche,
kitna tadapta hai dil mohabat ke aage..!
