Yaado main kabhi aap bhi khoye honge
Khuli aankho se kabhi aap bhi soye honge
Maana hasna hai aadat ghum chupaane ki
Par haste haste kabhi aap bhi roye honge
Tag: urdu poetry
Pyar chupta nahi ankhen chupane se
Arz hai
pyar chupta nahi ankhen chupane se,
dil rukta nahi kisi k samjane se.
Ruk jati hai dhadkan tujhe bhul jane se,
hum tujhe yaad karte hai jeene k bahane se.
Phir bhi aap nay door samajh liya
Khamosh thay hum to magroor samaj liya,
Chup hai hum to majboor samaj liya,
Yehi aap ki khushnasibi hai ke hum itne qarib hain,
Phir bhi aap nay door samajh liya.
KHUSHI se dil ko aabad karna
KHUSHI se dil ko aabad karna
GHAM ko dil se aazad karna
Bas itni guzaarish hai aapse k
ho sake to din mein ek baar yaad zaroor karna
Ai muhabbat tere anjam pey rona aaya
Ai muhabbat tere anjam pey rona aaya,
Jane kyu aaj tere naam pe rona aaya,
Kabhi taqdir ka matam kabhi duniya ka gham,
Manzile ishq mein har gaam pe rona aaya…
Sulagti raat ghani chandni si hoti hai
Sulagti raat ghani chandni si hoti hai
Tumhare sath ye duniya nayi si hoti hai
Gale mein uske khuda ki ajeeb barkat hai
Wo bolta hai to ik roshni si hoti hai
Kiran nikalne se pehle gulab dekhe hai
Tumhari yaad mein wo tazgi si hoti hai
Nazroon se jab nazar ka takrar hota hain
Nazroon se jab nazar ka takrar hota hai,
har mod par kissi ka intezaar hota hai,
dil rota hai zakham hastey hain,
isi ka naam to pyaar hota hai…
Ab un raho se guzra nahi jata
Jaan se bhi zyada unhe pyar kiya karte the,
yaad unhe din rat kiya karte the,
ab un raho se guzra nahi jata,
jaha baith kar unka intezaar kiya karte the.!
Ishq ki baazi hum haar gayai
Dilon say khailnay ka hunar hamain aata nahin,
Isi liyay ishq ki baazi hum haar gayai,
Meri zindagi se shayud unhain bohut pyar tha,
Isi liyay mujhey zinda hi maar gayai….
Aap ka ashiyana dil mein basaya hai
Aap ka ashiyana dil mein basaya hai,
apki yado ko seenay sey lagaya hai,
pata nahi yaad apki hi kyo aati hai,
dost to hamne auron ko bhi banaya hai
