Badban khulnay say pehlay ka ishara dekhna
Main samandar dekhta hoon tum kinara dekhna
Yoon bicharna bhi buhat asan na tha tum sa magar
Jatay jatay uska woh murd ker dobara dekhna.
Badban khulnay say pehlay ka ishara dekhna
Main samandar dekhta hoon tum kinara dekhna
Yoon bicharna bhi buhat asan na tha tum sa magar
Jatay jatay uska woh murd ker dobara dekhna.
Har taraf noor hai khusboo hai
Teri ankhon mein kaisa jadoo hai
Sari duniya hai meri jholi mein
Aur duniya meri bas tu hai
Har waqt tum ko yaad karta hu,
Ha main tumsein pyaar karta hu,
Kyun tum mujhse khafa ho,
Main tumhi pai to marta hu.
I love you
Mere alfazon ko juth mat samajhna,
yaad aati hai bahut jaldi milne ki dua karna,
ji raha tha tumhare naam par,
mar jau toh bewafa mat samajhna
Us ki yaadon main,
Us ki baaton main,
Kahin mera aqs bhi jhilmilata hoga,
Lakh masroof hoga,
Apnay kamoon main,
Phir bhi hamain soch ker
kabhi to muskurata ho ga.
Haalat pay meri hasnay hasaney aaja,
jhooti hi sahi par sachi ansoon bhane aaja
khuwab ko kiya sajana,woh toh bhikar gaye
ana hai agar toh meri zindagi swaarne aaja!
Aapki muskan hamari kamzori hai,
Keh na pana humari majboori hai,
Aap kyun nahi samajhte is khamoshi ko,
Kya khamoshi ko bhi zuban dena zaroori hai.
Kisi mor pe ham ap ko khoney nahi denge..
Juda hona chaho to honey nahi denge…
Chandni raton man aye gi meri yad…
Meri yad k wo pal ap ko soney nahi denge
Kya zamana tha hum roz mila karte thay,
Raat bhar chand k hamrah chala karte the,
Dekh k jo hamain chup chap guzar jata hai,
Kabhi is shakhs sey hum pyar kiya karte the.
Kisi k PYAR ko bhulana na aya hamain
Kisi k DIL ko dukhana na aya hamain
Kisi ki YAAD mein tarapna to sekh Liya !
Magar apni YAAD men kisi ko tadpana na aya hamen.