In ankhon main aansu ayai na hotay,
Agar tum pichay mur ker muskuraye na hotay,
Tumharay jaanay k baad yeh ghum hota hay,
Kaash tum zindagi main ayai hi na hotay….
In ankhon main aansu ayai na hotay,
Agar tum pichay mur ker muskuraye na hotay,
Tumharay jaanay k baad yeh ghum hota hay,
Kaash tum zindagi main ayai hi na hotay….
Dil me har raaz daba k rakhte hain,
Honto pay muskan saja k rakhtey hain,
Ye duniya sirf khushi main saath deti hay,
Is liye hum apne aanso chupa k rakhte hain…
Kisi na kisi pe kisi ko aetbar ho jata hai,
ajnabi koi shaks yaar ho jata hai,
khubiyon se nahi hoti mohabbat bhi sadaa,
khamiyon se bhi aksar pyaar ho jata hai
Ho nahi sakta mujhe teri yaad na aaye,
bhul k bhi tujhe bhulun wo ehsaas na aaye,
tu bhule to teri marzi,
MAIN bhulu to agli saans na aaye..
Hum jaise dost hotay nahin sab k liye,
Yeh tohfa hai kisi kisi k liye.
Kion jala rakha hai shamma bujha dijiye
Kia hum kum hain rooshni k liye
Ghamon mein Muskurana chahta hoon mein,
Tumhain bhula k ek Duniya basana chahta hoon mein,
Magar naa jane kyun nikal aate hai Aansu,
Jab bhi tumhe bhulana chahta hoon mein.
Bina uske na ji payenge hum,
uski parchai ban k zindagi bitayenge hum,
dur jane ka mujhse sochna bhi mat,
uske itna sochne se hi mar gaye hai hum.
Na mila dil ka qadardaan is zamanay main,
Yeh sheesha toot gaya hai daikhnay aur dekhanay main,
Gii main aata hai ek roz shamma say pochoon,
Maza kis main hai, jalnay main ya jalanay main…?
Dard hota nahi Duniya ko dikhane k liye,
Har koi rota nahi Aansu bahane k liye,
Ruthne ka mazaa to tab aata hai,
Jab koi apna ho manane k liye.
Yaaden teri rakh di hai sambhalkar,
Dur kahi is dil se nikalkar.
Sab kuch to vapas le liya hai aapne dur jaakar,
in yaadon ko bhi le jana kisi roz aakar..