Muskurahaton say bhari ho zindagi,
Chahaton say bhara ho har pal,
Daman bhi chota lagnay lagay,
itni khushian day aapko her aanay wala kal..
Muskurahaton say bhari ho zindagi,
Chahaton say bhara ho har pal,
Daman bhi chota lagnay lagay,
itni khushian day aapko her aanay wala kal..
Gham ney hasney na diya,
zamanay ney roney na diya,
is uljhano ney jiney na diya,
thak k jab sitaron sey panah li,
neend aayi tho aapki yaad ne sone na diya
Tanhaayiyon kay shehar mein ikk ghar banaa liya,
Rusvaayiyon ko apna mukaddar banaa liya,
Dekha hai yahan pathar ko poojtay hain loag,
Iss liye apnay dil ko ham nay pathar banaa liya,
Koi to dost mere zindagi main aisa ho,
phoolon ki tarah ho wafaon jaisa ho,
mere talash ki had us pr khatam ho jayay,
zameen per ho magar asmaan jaisa ho…
Din dhal gaya,
Phir Raat aa gayi,
Phir Tanhaii mein baithne ki baat aa gayi,
Chand ko dekha to aap ki Yaad aa gayi.
Aankho se barsat hoti hai,
jab apki yaad sath hoti hai.
Jab b busy rahe mera mobile,
samjh lena apki salamti k liye
meri khuda se baat hoti hai.
Palkon main qaid kuch sapne hain,
Kuch bayganay kuch apne hain,
Na janay kia kashish hai in khayalon main,
Woh ghair ho k bhi kitnay apne hain…
Bhule hai woh kuch iss qadar humein,
Ki unhe samjhana bhi mushkil ho gaya,
Kya pata koi khata ho gayi humse,
Ya koi aur unke Zyada qareeb ho gaya.
Log har manzil ko mushkil samajhte hai,
ham har mushkil ko manzil samajhte hai.
Bada fark hai log aur hamare nazarie me,
log dil ko dard aur ham dard ko dil samajhte hai..
Kaash woh naghmay hamain sunaye na hote,
Aaj unko sun kar yun aansu aaye na hote.
Agar isi tarah bhool hi jaana tha,
To itni gehrai se dil me samaye na hote.