Hont nahi keh sakte jo afsana dil ka,
Shayad nazar se wo baat ho jaaye,
Iss umeed se karte hain intezar raat ka ki
Shayad sapno me mulaqat ho jaye.
Tag: love shayari
Sapno me bhi intezar rehta hai
Har waqt jiska khayal rehta hai,
wo to mere dil ke pass rehta hai,
mil jata hai sakoon jiski ek jhalak say,
uska haqeqat me hi nahi,
sapno me bhi intezar rehta hai.
Agr khush hai wo dekh k ansu meri ankho me,
Agr khush hai wo dekh k ansu meri ankho me,
to qasam se hum muskurana chor denge,
tadapte rahenge use dekhne ko magar,
uski taraf palke uthana chor denge.
Us dil say pyar karo jo tumhein dard day
Us dil say pyar karo jo tumhein dard day,
Per us dil ko kabhi dard na do jo tumhain pyar karay,
Q k tum duniya k liyay koi aik ho,
Per kisi aik k liyay sari DUNIYA ho.
Teeri nazron say oojhal ho jayain gay hum.
Teeri nazron say oojhal hoo jayain gay hum,
Door fizaoon mai kaheen khoo jayaingay hum.
Meeri yaadon say lipat ker roo gay tum..,
Jub zameen oorh k soo jayain gay hum.
Har taraf khamoshi ka saya hai
Har taraf khamoshi ka saya hai,
Zindagi me pyaar kisne paya hai,
Hum yaadon mein jhoomte hai uski aur zamana kehta hai
“Dekho aaj phir peekar aaya hai.”
Kitnay chehray hain is duniya mein,
Kitnay chehray hain is duniya mein,
Magar humko ek chehra hi nazar aata hai,
Duniya ko hum ab kya dekhain,
Ab uski yaadon me hi sara waqt guzar jata Hai. . . . !!
Jinhe nahi mili mohhobat duniya mein.
Insano ke kandhay pe insaan ja rahay hain.
kafan me liptay kuch armaan ja rahey hain.
jinhe nahi mili mohhobat duniya mein.
mohhobat pane woh shamshan ja rahay they.
Maana hasna hai Aada Gham Chupanay ki
Par haste haste Kabhi woh bhi roye honge…
Yadon me hamari woh bhi khoye honge,
khuli aankhon se kabhi woh bhi soye honge,
Maana hasna hai Aada Gham Chupanay ki,
par haste haste Kabhi woh bhi roye honge…
meri wafa ka un per koi asar nahin hai
Mein ghamzada hoon lekin meri aankh tar nahin hai
Mujh par kya hai guzri un ko khabar nahin hai
un ka salook dekh ker hairat zada hai dil
k meri wafa ka un per koi asar nahin hai.!
