Saza khoob mili tum say dil laganay ki,
Nazar lagi hay meray pyaar ko zamanay ki..
Ab to qabar main say bhi nikal k kehtay hain meray haath,
Hamain tou hasratain reh gayain tum galay laganay ki
Saza khoob mili tum say dil laganay ki,
Nazar lagi hay meray pyaar ko zamanay ki..
Ab to qabar main say bhi nikal k kehtay hain meray haath,
Hamain tou hasratain reh gayain tum galay laganay ki
Us dil say pyar karo jo tumhein dard day,
Per us dil ko kabhi dard na do jo tumhain pyar karay,
Q k tum duniya k liyay koi aik ho,
Per kisi aik k liyay sari DUNIYA ho.
Teeri nazron say oojhal hoo jayain gay hum,
Door fizaoon mai kaheen khoo jayaingay hum.
Meeri yaadon say lipat ker roo gay tum..,
Jub zameen oorh k soo jayain gay hum.
Har taraf khamoshi ka saya hai,
Zindagi me pyaar kisne paya hai,
Hum yaadon mein jhoomte hai uski aur zamana kehta hai
“Dekho aaj phir peekar aaya hai.”
Kitnay chehray hain is duniya mein,
Magar humko ek chehra hi nazar aata hai,
Duniya ko hum ab kya dekhain,
Ab uski yaadon me hi sara waqt guzar jata Hai. . . . !!
Insano ke kandhay pe insaan ja rahay hain.
kafan me liptay kuch armaan ja rahey hain.
jinhe nahi mili mohhobat duniya mein.
mohhobat pane woh shamshan ja rahay they.
Par haste haste Kabhi woh bhi roye honge…
Yadon me hamari woh bhi khoye honge,
khuli aankhon se kabhi woh bhi soye honge,
Maana hasna hai Aada Gham Chupanay ki,
par haste haste Kabhi woh bhi roye honge…
Mein ghamzada hoon lekin meri aankh tar nahin hai
Mujh par kya hai guzri un ko khabar nahin hai
un ka salook dekh ker hairat zada hai dil
k meri wafa ka un per koi asar nahin hai.!
Hasrat hai sirf unhe pane ki,
aur koi khwahish nahi is deewane ki,
shikwa mujhe unse nahi khuda se hai,
kya zarurat thi unhe itna haseen banane ki….
Main nay bhi kisi say pyar kiya tha…
thoda nahi bay shumar kiya tha,
Meri to duniya hi badal gayi.
Jab usne kaha…
Aray mein nay to sirf mazak kiya tha