Jub jab aap say milnay ki umid nazar ayai,
Meray paon main zanjeer nazar ayai,
Gir paray aason aakhon say or,
her ek aasun main aap ki tasveer nazar ayai
Jub jab aap say milnay ki umid nazar ayai,
Meray paon main zanjeer nazar ayai,
Gir paray aason aakhon say or,
her ek aasun main aap ki tasveer nazar ayai
Zakham itnay gehray hain izhaar kia karain,
Hum khud nishana ban gaye hain waar kia karain,
Mar gaye ham magar khuli rahein aankhain,
Ab is say ziyadah unka intezaar kia karain…
Panchi keh rahey hain k hum chaman chor denge,
aur sitare keh rahey hain ki hum gagan chor denge,
Agar tere ishq mein main mar bhi jaun ae sanam,
Tum dilse pukar lena hum kafan chor denge
Aapki DOSTI Ki ek Nazar Chahiye,
Dil hai bay ghar use ek ghar Chahiye,
Bas yun hi SAATH chalte raho ae DOST,
Ye DOSTI humain UMARBHAR Chahiye…!!
Dil ka dard dil main dabaye rakha,
Koi na mila aisa jis pay duniya luta daitay,
Sab nay diya dhooka kis kis ko bhula daite,
Dil ka dard dil main dabaye rakha,
Bayan kia hota to mehfil ko rula daitay
us ne poocha kon ho tum main nay kaha hasrat tumhari
us ne kaha dekhtay kia ho main nay kaha soorat tumhari
us ne kaha karte ho kia main nay kaha ibadat tumhari
us ne kaha kafir ho kia main nay kaha ye hi sahi
us ne kaha chahtey ho kia main nay kaha muhabbat tumhari
us ne kaha pachtao gay main nay kaha qismat hamari
Bagair jane pehchane iqrar na kijiye,
muskura kar dilo ko beqrar na kijiye,
phool bhi dey jatay hain zakham gehray kabhi kabhi,
har phool par yun aaitbar na kijiye
durr kahin wadi main rahta hai woh!
har lamha khayal main rahta hai woh!
kaisa hai woh kis haal main hai woh!
dil kay har sawal main rahta hai woh!
jis shaam mein mere lab per aapka naam na aaye,
khuda kare ki kabhi aisi shaam na aaye,
ae jaane wafa yeh kabhi mumkin nahin ki,
afsaana likhoon aur aapka naam na aaye.
Teri ulfat ko kabhi nakam na hone denge
Teri DOSTI ko kabhi badnam na hone denge
Meri zindagi main Suraj nikle na nikle
Teri zindagi main kabhi shaam na hone denge.