Ishq ne hume Rula Diya
Jis Per Marte The usne hi hame bhula Diya
hum to unki yadon mein hi jee laitay,
magar unhone to yaadon mein hi ZEHER mila diya
Tag: love shayari
Pani ki bondain phulon ko bhiga rahi hai
Pani ki bondain phulon ko bhiga rahi hai
Thandi lehren ek tazgi jaga rahi hai,
Ho jaye aap b inme shamil
Ek pyari si subah aapko jaga rahi hai
“GOOD MORNING”
Ye bhi na socha kaise guzregi zindagi
Sahil per khare khare humne shaam kardi,
Apna dil or duniya aap k naam kar di,
Ye bhi na socha kaise guzregi zindagi,
Bina soche samjhe her khushi aap k nam kar di
Ankhain teri raat ko jaagna chor dain
khoobsurat aankhain teri
raat ko jaagna choor day,
khud ba khud neend aa jayegi
tu mujhey soochna choor day.
Good Night
Meri zaat pay faqat itna ehsaan kar do
Is dil ka kaha mano 1 kaam ker do,
1 bay naam si mohabbat mere naam kar do,
Meri zaat pay faqat itna ehsaan kar do,
Ghar say naha k niklo, poray muhallay ko hairaan kar do
Har kamyabi pay aap ka naam hoga,
Har kamyabi pay aap ka naam hoga,
Apke har qadam pay duniya ka salam hoga,
Mushkilon ka samna himmat sey karna,
Dua hai ek din waqt bhi apka ghulam hoga..
Good Luck & All the best
Sukon dhondta phirta tha me baharon me
Sukon dhondta phirta tha me baharon me,
Haseen wadiyon mei, surmaye nazaron me,
Me is talash mein ja phncha chand taron main,
Magar ye mujhe mila Quran k 30 paron mein
Aana hai agar toh meri zindagi swaarne aaja
Haalat pay meri hasnay hasaney aaja,
jhooti hi sahi par sachi ansoon bhane aaja
khuwab ko kiya sajana,woh toh bhikar gaye
ana hai agar toh meri zindagi swaarne aaja!
Kya khamoshi ko bhi zuban dena zaroori hai.
Aapki muskan hamari kamzori hai,
Keh na pana humari majboori hai,
Aap kyun nahi samajhte is khamoshi ko,
Kya khamoshi ko bhi zuban dena zaroori hai.
Kisi mor pe ham ap ko khoney nahi denge..
Kisi mor pe ham ap ko khoney nahi denge..
Juda hona chaho to honey nahi denge…
Chandni raton man aye gi meri yad…
Meri yad k wo pal ap ko soney nahi denge
