Kya yaar tum bhi ajeeb ho,
mere dil ke kitne kareeb ho,
na milte ho na sms karte ho ,
kya tum mujh say bi ziyadah gharib ho…..
Tag: love poems for her
Dhoond laina mera haath pakar k mujhko
Harf-e-laazim banoon ya k dua ho jaon,
Kaash main bhi teray honton say ada ho jaon,
Dhoond laina mera haath pakar k mujhko,
Be-Khayali main agar tujhsay juda ho jaon.
Dost akser yunhi ban jatay hain
Dost akser yunhi ban jatay hain
Kuch sath rehtay hain kuch bicher jatay hain.
Kuch yaad rakhtay hain Kuch bhul jate hain.
Ab hum aapko dekhte hain Aap kahan tak saath nibhatay hain
Koi achha lage to use pyar mat karna
Koi achha lage to use pyar mat karna,
uske liye apni ninden bekaar mat karna,
2 din to aayenge khushi se milne,
teesre din kahenge mera intjar mat karna…
Gunah karke saza se darte hain
Gunah karke saza se darte hain,
zahar pee ke dawa se darte hain,
dushmano ke sitam ka khauff nahi,
hum toh doston ki wafa se darte hain..
Jisne humko chaha, use hum chah na sakey
Jisne humko chaha, use hum chah na sakey,
Jisko chaha, usay hum paa na sakey,
Yeh samajh lo dil tutney ka khel hai,
Kisi ka toda aur apna bacha na sake.
Kisiko Keh kar apna Banaya Nahi Jata
Ghamo Mein Rone Walo Ko Hasaya Nahi Jata,
 Lehroon Say Pani Ko Hataya Nahi Jata,
Banne waley Ban Jate Hai Apne,
Kisiko Keh kar apna Banaya Nahi Jata
Yaar nay dil ka haal batana chor diya
Yaar nay dil ka haal batana chor diya,
Humne bhi gaherayi mein jana chod diya,
Jab usko hi duri ka ehsas nahi,
Humne bhi ehsas dilana chod diya.
Hum say door jao gay kaisay?
Hum say door jao gay kaisay?
Dil say hamain bhulao gay kaisay?
Hum to woh khushbo hain jo,
sanson k zariye dil mein utar jati hay.
Khud ki sanson ko rook pao gay kaisay?
Jub teri dhun main jiya kertay thay
Jub teri dhun main jiya kertay thay,
hum bhi chup chaap phira kertay thay,
Aankhon mein pyaas howa kerti thi,
Dil mein toofan utha kertay thay,
Loog aatay they ghazal sunne ko,
Hum teri baat kia kertay thay,
Such samajhtay they teray wadon ko,
Raat din ghar mein raha kertay thay,
Woh bhi kia din thay tujhey bhula ker,
Hum tujhey yaad kia kertay thay,
Kal tujhey dekh ker yaad aaya,
Hum bhi kabhi tumhain pyar kia kertay thay.
