SMS4Life

Best funny sms text messages and jokes collection




Tag: hindi shayari

Kisi se pyar kertay ho

Kahan dil chor aye ho,
bohut chup chap se rehtay ho,

Na bante ho na sanwarte ho
na koi bat karta ho

Bhari mehfil main bhi aksar
hamesha khoay rehtay ho

Udasi aankho main le kay
her ek chehre ko takte ho

Koi jab yaad aata hai to
Thundi aah bharte ho

To khul kar kion nahin kehtay
Kisi se pyar kertay ho

Jo guzar gia woh guzar gia

usey yaad ker k na dil dukha, jo guzar gia wo guzar gia,
kahan lout ker koi ayai ga, jo guzar gia wo guzar gia,

Nayai subah hay, nayai shaab hay, naya shahar hay, naya naam hai,
Woh chala gaya usay bhool jaa, jo guzar gia woh guzar gia,

Koi ayai ga koi jayai ga, koi jayai ga koi ayai ga,
Suno raston ki sada, jo guzar gaya wo guzar gia,

Teray paas tera habai hay, jo nahin mila woh naseeb hay,
Koi phool kehta hai muskura, jo guzar gaia woh guzar gia,

Mujhey pat jharon ki kahanian na suna suna kay udaas ker,
Nayai mausamon ka pata bata, jo guzar gia wo guzar gia,

Yahan aetbar-o-yaqeen hai, yeh haqiqaton ki zameen hay,
Zara dair ka koi khuwab tha, jo guzar gia wo guzar gia

Apna Ehsas mar na jaye kahin

Apna Ehsas mar na jaye kahin
Dard had se Guzar na jaye kahin

Un ko dekhey hoye hoi Sadyan
Un ka Chehra bikhar na jaye kahin

Ab k Awaz doon to aa jana
Dil Deewana Sudhar na jaye kahin

Un ka Wada to hai magar Dil ko
Darr hai k kafir mukar na jaye kahin

Dard, Jugnoo, Hawa, Giley Shikwey
Yeh Mukaddar Sanwar na jaye kahin

Meri Dunya hai Dard ki Surat
Gul ki Surat Nikhar na jaye kahin

Khak se Aab tak to aa pohnchey
Ab yeh Darya Utar na jaye kahin

Yeh Mohabbat b ek Bala theri
Hum ko Darr hai wo Darr na jaye kahin

Is liye Muskuraye phirta hoon
Un ki Aankh b na bhar jaye kahin

Dil se guzra to hai magar Saqi
Apni Jaan se guzar na jaye kahin

Haath us ney Mera Thama Ho ga

Aaj jo Tanha hai Woh Pardes Mein
Zaroor Mujh ko us Ney Socha ho ga

Khuvabon aur Khyaalon Mein
Mera hi Chehra Tarasha Ho ga

Raah Chaltey jo us ko
Mera khyaal Aaya Ho ga

Aik Nazar Ruk ke Asmaan Pe Chand ko Dekha Ho ga
Jab Saath They to Roz hi larti Thi Mujh sey

Ab Din Mein so Baar khud peh Bigarti Ho gi
Mail Box Kholtey hi Naam mera Dhondti Ho gi

Aur na Pa ke Mujhey

Aap hi Aap Mujh sey Roth ti Ho gi
Zaror Masrof Hon buhat ya koi Test hai Mera

Tawelein Ghurr ke khud hi Behal ti Ho gi
Tanha Sard Raat Mein

Yuon hi Sarak peh Tehaltey Huvey
Khyaalon hi Khyaalon Mein

Haath us ney Mera Thama Ho ga

Phir Kisi Pool ke Nechey Ruk kar
Aankhon Mein Mere us ney Jhaanka Ho ga

Woh pathar dil sahi hamara bhi ye dawa hai

Woh pathar dil sahi hamara bhi ye dawa hai
Hamaray lab jinhe chu le wo pathar bol utte

Raaz-e-hasti kuch nahi aksar yehi dekha gia
Be-khabar hanste rahe aur ba-khabar rote rahe

Me khanay ki tauheen hai rindo ki hatak
Kam zarf ke haath me agar jaam diya jayai

Hum karain baat daleelon se to rud hoti hai
Is ke honton ki khamoshi bhi sanad hoti hai

Abhi mitti na khunki thi abhi paani na barsa tha
Magar bazm-e-anasir me tere hone ka charcha tha

Tum aa ker mujhi say chura lou mujhey

Kaisay kahoon k apna bana lou mujhey
bahoun mein apni sama lou mujhey

Bin tumharey aik pal bhi ab kat-ta nahin
Tum aa ker mujhi say chura lou mujhey

Zindagi tou woh hai sang tumharey jo guzrey
Dunya kay gamoun say ab chura lou mujhey

Meri sab say gehri khuwahish hou puri
Tum agar pass apnay bula lou mujhey

Yeh kaisa nasha hai jou behka raha hai
Tumhara hoon mein tou sambhalo mujhey

Najanay phir kaisay guzrey gi zindagani
Agar apnay dil say kabhi tum nikalo mujhey

Bohat hi yaad aata hai mere Dil ko tarpaata hai

Bohat hi yaad aata hai mere Dil ko tarpaata hai
woh tera paas na hona bohat mujh ko rulaata hai

woh mera teri aankhon k samander main uttar jaana
aur teri muskurahat ke bhanwar main doobte jaana

teri awaaz k sehar se na nikal paana
tujh ko dekhna aur be-khudi se dekhte jaana

bohat chaha in guzre hue lamhon ko na sochoon
na teri yaad main reh k tere saath ka sochoon

bhoola doon saari yaadon ko ke jin se Dil tarapta hai
k jin se thees utth ti hai k jin se dard hota hai

magar jab raat aati hai to teri yaad aati hai
terey hi khuwaab hote hain teri hi baat hoti hai

tou tay paaya ab mumkin nahi tujh ko bhoola dena
teri yaad main rehna tujhe hi sochte rehna

tujhe jab yaad karte hain to Dil apna tarapta hai
woh tera paas na hona bohat mehsoos hota hai

aik mein bhi tanha they sau(100) mein bhi akailey hein

Zindagi ki raahon mein Ranj-o-gham ke mele hein
bheer hey qayamat ki …phir bhi hum akailey hein

sazishein zamaney ki kaam ker gain aakhir
aap hein udher tanha …hum idher akailey hein

bheer hey qayamat ki …phir bhi hum akailey hein

ab to apna saya bhi kho gaya andheron mein
aap se bichar ker hum kis kadar akailey hein

kon kis ka sathi hey hum to gham ki manzil mein
pehley bhi akailey they …aaj bhi akailey hein

aainey ke soo tukrey ker ke hum ne dekhey hein
aik mein bhi tanha they soo mein bhi akailey hein

bheer hey qayamat ki phir bhi hum akailey hein
zindagi ki raahon mein ranj-o-gham ke mele hein

paas hey sawa jiskey eik na ik haseen katil
justiju mein katil ke …siraf hum akailey hein

bheer hey qayamat ki … phir bhi hum akailey hein
zindagi ki rahoon mein ranj-o-gham ke mele hein

Mohabbat ka izhaar na karna

Kaha tha tum say…mera intezaar na karna
dunya chahey jo kahey tum aitebar na karna

Aisa ho chuka hai kayee bar pehlay bhi
ab ki bar tum koi bhi sawal na karna

Din raat kat rahey hein ab to ussi k khyal mein
wo lamhein wo ratein,unko yaad bar bar na karna

Zindagi tanha hi sahi..kat rahi hai ab tak
kis nay keh diya tha mohabbat ka izhaar na karna

SMS4Life © 2018 Frontier Theme