SMS4Life

Best funny sms text messages and jokes collection




Tag: hindi shayari

Wo Samne Aaye To…

Wo samne aye to Nazron ko Jhukaa loon ga
Dekhoon ga nahi phir bhi Tasweer bana loon ga

Aana ho to aa jao Ruswayee nahi hogi
Dekhega nahi koi Palkon mai chupa loon ga

Jo Hum per guzarni hai ek bar guzar jaye
Her Gham ki tarha Tujh ko Seene se laga loon ga

Weeran agar Dil ho Aankhon mai Andhera ho
Yaadon ke Diye apni Palkon mai saja loon ga

Manzoor agar hogi Ruswayi Teri Mujh ko
Mai beth ke Sahil se Toofaan utha loon ga

Naraz agar wo hain Mere Nasheman se
Mai apne Nasheman ke Tinkon ko hata loon ga

Kyun Mujh se Khafa ho ker wo Door gaye
Baanhon mai wo aa jayaen mai un ko Mana loon ga

Itna hi kehna hay tum say, mumkin ho to aa jaana

baat chali teri aankhon say ja pohnchi paimanay tuk
kheinch rahi hai teri ulfat, aaj mujhey maikhanay tuk

ishq ki batain ghum ki batain, dunya walay kertay hain
kis nay shama ka dukh dekha, kaun gaya parwanay tuk

ishq nahin hay tum ko mujh say, sirf bahanay kerti ho
yun hi bahanay qayam rakhna, tum meray mer jaanay tuk

itna hi kehna hay tum say, mumkin ho to aa jaana,
aa hi gayai tou rukna ho ga, aankhon k pathranay tuk

SMS4Life © 2018 Frontier Theme