Is dafa to barishein rukti nahin faraz,
Hum ne ansu kia piye k saray mosam ro paray
Teri qismat kabhi bhi badal sakti hay
Bujhi shamaa bhi jal sakti hai,
Toofan se kashti bhi nikal sakti hai,
Ho k maayus youn na apnay iraday badal,
Teri qismat kabhi bhi badal sakti hay
Lehar ko pyar tha kinary se
Lehar ko pyar tha kinary se,
Par us ki shadi ho gaye sagar se,
Kinary ki chahat lehar ko khench lati hay,
Par badnaam na ho MOHABBAT is liye wo laut jaati hay,
Phool jaisa tera anjaam na honay doon ga
shaam say pahlay teri shaam na honay doon ga
zindagi main tujhay na.kaam na honay doon ga
lagnay doon ga na hawa tujh ko khizaoon ki kabhi
phool jaisa tera anjaam na honay doon ga
Tujhe ansu bhari wo dua miley,
Tujhe ansu bhari wo dua miley,
Jisey kabhi na rad Khuda karey,
Tujhey hasrat na rahe kabhi jannat ki,
Tere aangan me muhabbaton ki aisi hawa chale
Hadon ki qaid se tuk ker azad mujhey
hadon ki qaid se tuk ker azad mujhey,
dil me basaya hay to ankhon me utar le mujhy,
meri sab hi jazbon me hay pakizgi ka rang,
tu jis rishtay se chahay pukar lay mujhay
Mujh ko MAIRI JAAN bulata hai koi
Deeiray dheeray dil main utarta jata hai koi,
Mujh ko MAIRI JAAN bulata hai koi,
Main toot ke bikhar jaon, ye mumkin nahi,
Boht piyar se sath apne mujhe sulata hai koi………
Hasta basta dil kar diya khali us nay
Mujh se NAFRAT ki ajab raah nikali us nay,
Hasta basta dil kar diya khali us nay,
Meray ghar ki riwayat se woh khoob waqif tha,
JUDAI mang li ban k SAWALI us nay!
Her ada aus ki pasad thi apni
Daikhna mujhe aur dair talak daikhty rehna,
Phir tasawur main khud se sharmaty rehna,
Her ada aus ki pasad thi apni,
Sharmana ghabrana khud ko chupaty rehna,
Aaj taqdeer ke zulm ki intaha hai nashtar,
Bichar gaya, socha jisy apnaaye rehna
apane sivaa hamaare na hone kaa Gam kise
apane sivaa hamaare na hone kaa Gam kise
apani talaash mein to ham hi ham hain dosto
sab kuchh sahi ‘Faraz’ par itanaa zaruur hai
duniyaa main aise log bahut kam hain dosto
