Kaash k usay chahnay ka Arman na hota,
Main hosh main hote howay anjaan na hota,
Yeh pyaar na hota kisi patthar dil se hamain,
Ya koi patthar dil insan na hota
Kaash k usay chahnay ka Arman na hota,
Main hosh main hote howay anjaan na hota,
Yeh pyaar na hota kisi patthar dil se hamain,
Ya koi patthar dil insan na hota
Ae rab apnay pas meri dua amanat rakhna,
Rehti duniya tuk us ko salamat rakhna.
Meri ankhon k sary deep bujha dena,
Per us ki ankhon k sary khuwab salamat rakhna
Mujhey guman hai k chaha
hai bohut zamanay ne mujhey.
Main azeez to sab ko hon magar
.
.
.
Zaroraton ki tarah..!
Koi na milay to qismat se ghila nahi karty!
aksar log mil ker bi mila nahi karty!
har shaakh par bahaar aati hy Zaror!
par har shaakh par phool khila nhi krty
Jis ki qurbat main karar bohut hay
us ka milna dushwar bohut hay
jo meray hathon ki lakiron main nahin
us shakhs say mujhey pyar bohut hay
kitne nadaan thy toufan ko kinara samjha
kitne bejan saharon ko sahara samjha,
kitnay anjaan thy wo log jo sahil pe thy,
hamain doobta dekha or nazara samjha
Sanson ka pinjara kisi din toot jayega,
Phir musafir kisi rah mein choot jayega!
Abhi sath hai to bat kar lia karo,
Kia pata kub zindagi ka sath choot jayega
Raaz-e-dil na sunana kisi ko Saqib,
Duniya mein sab hamraz badal jatay hain,
Kisi kay bicharne se koi mar nahi jata,
Haan magar jeenay k andaz badal jatay hain!
Tere bina hum jeena bhool jate hain,
Zakhmon ko seena bhool jate hain,
Tu zindagi mein sub se azeez hai hamain,
Tujhse her baar yeh kehna bhool jaatay hain.
Koi dikha k roye,
Koi chupa k roye,
Humain rulanay walay,
Humain rula k royee,
Marna ka maza to tab hai yaro,
Jab qatil bhi Janazay per aa ker roye