Jugnu ko qaid kar k muskaraya na karo,
Roshni ki khatir kisi ka dil jalaya na karo,
Sitam karna hai karo par itna na karo!
Yaad nahi karsakte to yad aaya na karo….
Jugnu ko qaid kar k muskaraya na karo,
Roshni ki khatir kisi ka dil jalaya na karo,
Sitam karna hai karo par itna na karo!
Yaad nahi karsakte to yad aaya na karo….
Har waqt kaam mein itne na ulajh jaya karo,
Kabhi hamari yaad ko bhi dil mein laya karo,
Milnay ka waqt maat nikalo par,
Kabhi apne sms ki awaz to sunaya karo.
Wadiyon se soraj nikal aaya hai,
Fizaon me naya rang chaya hai,
Aap kion udaas baithay ho,
ab to muskura do, hamara SMS aaya hai
Din beet jatey hain suhani yadain ban kar,
Batein reh jati hain kahani ban kar,
Per dost to hamesha dil k qarib rahenge,
Kabhi muskan to kabhi ankhon main pani ban ker..
Karo ge yaad to har baat yaad aye gi,
Guzartey waqt ki har mulaqat yad aye gi,
Talash karo ge hum se behtar dost koi,
Nigah dor talak ja kar laut aye gi..
Apni KHAMOSH zindagi main bolana mujhko,
Apni HASEEN khuwab ki TASVEER banana mujhko,
Main jo POCHON tumhara HAAL-e-DIL,
To apni har DHARKAN ki AWAZ sunana mujhko
Tere Bina hum jeena bhool jaate hain…
Zakhmon ko seena bhool jate hain..
Tu zindagi main sabse azeez hai hamain..
Tujhse har bar yeh kehna bhool jaate hain.
Us ajnabi ka yun na intzaar karo,
Is aashiq dil ka na aitbaar karo,
Roj nikla kare kisi ki yaad me ansu,
Itna kabhi kisi se na pyaar karo
Mujhe dard-e-dil ki intehaa maloom hai,
Mujhe dard-e-ishq ki saza maloom hai,
Mujhe muskurane ki dua na do…
Mujhe pal bhar muskurane ki saza maloom hai.
U to hum bhi madad kia nahi karte,
Choclate kya toffy bhi dia nahi karte.
Ye DOSTI sirf apse hai warna msg to kya
hum kisi ko number bhi dia nahi karte.