Samjha do apni yadoon ko,
wo bin bulaye pas aaya karti hain,
aap to dur reh kar satate ho magar,
wo pas aakar rulaya karti hain
Tag: urdu poetry
Aye Zindagi tu mujh se dagha naa kar
Aye Zindagi tu mujh se dagha naa kar,
Mein Zinda rahu yeh dua naa kar,
Koi dekhta hai meri jaan ko to hoti hai jalan,
Aye Hawa tu bhi usse chua naa kar.
Jo mere dil main aise samaya hy
Banany wale ne ek DOST mere lia banaya hy,
Jise aap k roop mein mainey paaya hay,
Jo mere dil main aise samaya hy,
Jaise purani haeli main “BHOOT” ka saaya hay
Hawaon k hath ek arman bheja hai
Hawaon k hath ek arman bheja hai,
Roshni k zariye ek paigham bheja hai,
Fursat milay to qabool ker lena,
is nacheez ne”Piyara” sa “Salam” bheja hai
Mere dil ko nikal laina Faraz
Dafnane Se pehlay Mere Dil Ko Nikaal Lena “FARAZ”
Kahin Khaak Main Na Mill Jaye Mere Dil Main Rehnay Wala
Aap kion udaas baithay ho
Wadiyon se soraj nikal aaya hai,
Fizaon me naya rang chaya hai,
Aap kion udaas baithay ho,
ab to muskura do, hamara SMS aaya hai
Paani k bulbule sa hai mera pyar
Mere pyaar ka hisaab jo lagao gi,
To mere pyar ko bay hisaab pao gi,
Paani k bulbule sa hai mera pyar,
Zara si thees lagi to dhundte reh jao gi.
Shakal pehchani nahi jati
Qudurat ho to sachi baat bhi mani nahi jati
Ke chashme toor tak suraj ki tabaani nahi jati
Ab itna bhi na apne ko bigaro bugze haider me
Ke khud tumse tumhari shakal hi pehchani nahi jati
Socha yaad na kar k thora tadpaye unko
Socha yaad na kar k thora tadpaye unko,
kisi aur ka naam ley kar jalayain unko.
Par koi chot unko lagi to dard hame hoga,
ab koi ye bataye k kis tarah satayein unko.
Duriyon ki na parwah kijiye
Duriyon ki na parwah kijiye,
dil jab bhi pukare hamain,Bula lijiye.
Hum zyada dur nahi aapse,
bas apni aankhon ko palko se mila lijiye.
