Khushbu ki tarah aapke paas bikhar jayenge,
Sukoon bankar dil mein utar jayenge,
Mehsus karnay ki koshish kijiye,
dur hokar bhi paas nazar ayenge.
Khushbu ki tarah aapke paas bikhar jayenge,
Sukoon bankar dil mein utar jayenge,
Mehsus karnay ki koshish kijiye,
dur hokar bhi paas nazar ayenge.
Na janay Q hamain ansu bahana nahin aata,
Na janay kion haal-e-dil batana nahin aata,
Kion sathi bichar jatay hain hamaisha hum se,
Shayud hamain hi dosti nibhana nahin aata…
Tumhari yadon ki mehak in hawaon main hay,
Pyar hi pyar bikhra in fazaon main hay,
Aisa na ho k doriyan dard ban jayain,
Ab to aap k message ka intezar nigahon main hay..
Saza khoob mili tum say dil laganay ki,
Nazar lagi hay meray pyaar ko zamanay ki..
Ab to qabar main say bhi nikal k kehtay hain meray haath,
Hamain tou hasratain reh gayain tum galay laganay ki
Kuch nasha to aap ki baat ka hai,
Kuch nasha to dheemi barsaat ka hai,
Hamain aap yun hi sharabi na kehiye,
Yeh dil per asar to aap se mulaqat ka hai
Aur kuch nahi chahiye ek muskan hi kafi hai,
dil main bas ek Tamanna hi kafi hai,
Tamanna hai ye ki aap sada kush raho ,
hamen yaad rakhna ye ehsaan hi kafi hai.
Tumhari is ada ka kya jawab du,
apne dost ko kya uphar du,
koi acha sa phool hota to mali se mangwate,
jo khud gulab hai usko kya gulab du…
Zakham dainay ka andaz kuch aisa hai,
Zakham day ker pochtay hain ab haal kaisa hai?
Kisi aik say gila kiya karna yaaro,
Saari duniya ka mizaaj aik jaisa hai
Kabhi unki palkon se humara Intzaar hoga,
Dil ke kissi kone mein humare liye Pyaar hoga,
Guzar rahi hai Raat unke Intzaar mein,
Kabhi unko humara bhi Intzaar hoga.
Taras gaye aapke deedar ko,
Dil phir bhi aap k liye dua karta hai,
Hum se to acha aap k ghar ka aaina hai,
Jo rooz aapko dekha to karta hai…