Mita dain gay yeh doori, yeh faslay sab hi,
Kaho gi aik baar k milo aa k kabhi,
Na hoon gay door phir tum say is zindagi main,
Khulra rakho tum dar apna, hum aatay hain abhi…
Mita dain gay yeh doori, yeh faslay sab hi,
Kaho gi aik baar k milo aa k kabhi,
Na hoon gay door phir tum say is zindagi main,
Khulra rakho tum dar apna, hum aatay hain abhi…
Zindagi mohtaj nahi manzilon ki,
Waqt har manzil dikha deta hai.
Marta nahi koi kisi se juda hoke,
Waqt sabko jina sikha deta hai.
Hasi ke raste pe chala karo,
khushiyo ki mahak liya karo,
pyar se dilon ko chuha karo,
jahan tumhe ghum nazar aaye,
is nacheez ko yaad kiya karo!
wo khush naseeb hain k unhe auron ka pyar mila,
hum apni takdeer say lartay reh gaye,
hum to unki yaadon ko bhi samait na paaye,
wo hamaray ashqon k zariye beh gaye…….
Apnay dushman say hi dil laga baithay,
Unki saadgi say faraib kha baithay,
Patharon say tha apna rishtaa,
Phir bhi sheeshay k ghar bana baithe..
Ghamon say kia darna wo to sab hi ko miltay hain
Pholon ko daikho hamaisha kanton k beech khiltay hain
Na janay tum pay itna yaqeen kion hay?
Tera khayal bhi itna haseen kion hay??
Pyar ka dard meetha hota hay…
to aankh say nikla yeh ansu namkin kion hay?
Zindagi ki kashti kab lagay, koon say kinaray,
Kab isay milay gi, man chahi baharain,
Jeena to paray ga hi kaisay bhi pyaray,
Kabhi doston ki bheer main, to kabhi tanhai k saharay
Apnay pyar ko chupana chaha, per chupa na sakay,
Deewanay dil pay qabu hum, paa na sakay,
Aaj itnay qarib say guzar gayai woh,
Phir bhi unka haath hum thaam na sakay…
Teri dosti hum es tarah nibhain gay,
Tum roz khafa hona hum roz manain gay,
Per maan jana manany say,
Werna yeh bheegi palkain lay k kahan jayaingay