Bojhal dil, bojhal qadam,
Sochtay hain k jain kahan
Jub sub derwazay hon band,
Apni manzil pa’ain kahan
Sang’raizon k dais main,
Kanch ka dil chupain kahan
Bojhal dil, bojhal qadam,
Sochtay hain k jain kahan
Jub sub derwazay hon band,
Apni manzil pa’ain kahan
Sang’raizon k dais main,
Kanch ka dil chupain kahan
kabhi wo hum pe jaan dia karti thi
jo kehtay they wo maan lia karti thi
kal anjaan ban kar paas se guzar gai
Woh jo door se pehchaan lia karte thi…
Tum apni zulf ki parchaiyan mujhay day do
Tum apni shaam ki tanhaiyan mujhay day do
Mein doob jaon tumhari udas aankhon mein
Tum apnay dard ki gehraiyan mujhay day do
Kisi na kisipe aitbar ho jata hai,
Ajnabi koi shaks yaar ho jata hai,
Khubiyo se nhi hoti mohabat hamesha,
Khamiyo se b aksar pyarho jata hai
Gam Ke Mare Jo Muskuraye Hain,
Aansuoo Ko Bhi Pasine Aaye Hain,
Kya Bala Hai Khushi Nahi Malum,
Hum To Bus Naam Sunte Aaye Hai
Har subah
teri muskurati rahay
har shaam
teri gungunati rahay
tu jise bhi mile
is tarahe se milay
ke har milne wale ko
teri yaad aati rahay!
Zindagi sirf mohabbat nahi,kuch aur bhi hay
zulf-o-rukhsar ki jannat nahi,kuch aur bhi hay
bhool-o-aflas ki is maari hui dunya main
ishq hi ek haqiqat nahi,kuch aur bhi hay …
Mohabbat hum bhi kertay hain magar shikwa nahi kertay
hum apni mohabbat ko yun ruswa nahi kertay
jo paas aa baithay usey dil se chahtey hain
jo uth ker chala jaye usey roka nahi kertay
Rishta banaya he to nibhayenge,
har pal apko hasain gay,
Pata he ap ko fursat nai hamain yad karne ki,
ham hi tang kar kar k apni yaad dilaingay.
Guzre dinon ki bhuli hoi bat ki tarha,
Ankhon me jagta he koi rat ki tarah,
Tumse umed thi k nibhao gy dosti,
Tum bhi badal gaye Karachi k halaat ki tarah.