Muskura do zara khuda ke vaste,
sama-e-mahefil mai roshni kam hai,
tum hamare nahi to kya ghum hai,
hum tumhare to haiN ye kya kam hai?
Tag: poetry sms
Kitna bebas hai insaan kismat ke aage
Kitna bebas hai insaan kismat ke aage,
kitne door hai sapna haqiqat ke aage,
koi ruki hui dhadkan se puche,
kitna tadapta hai dil mohabat ke aage..!
Bhoolna tumhain na asaan hoga
Bhoolna tumhain na asaan hoga,
jo bhule tumhain woh nadaan hoga.
Aap to basti ho rooh mein hamari,
Aap humain na bhulain ye apka ehsan hoga.
Meri har khata par naraz na hona
Meri har khata par naraz na hona,
Apni pyari si muskan kabhi na khona,
Sukoon milta he dekhkar apki muskurahat ko,
Mujhe maut bhi aye to bhi mat rona
Baad Marne K Mere Tum Jo Kahani Likhna
Baad Marne K Mere Tum Jo Kahani Likhna
Kaise Barbaad Hui Meri Jawani Likhna.
Yeh Bhi Likhna K Mere Hoont Hansi Ko Tarse,
Umer Bhar Ankh Se Behta Raha Pani Likhna.
Pyaar dilse nibhayenge hum
Pyaar dilse nibhayenge hum,
Tum bhul jao bhi to,
Yaad dilayenge hum,
Aisi shararat karenge hum ki,
Na chahate hue bhi,
Tumhe yaad ayenge hum.
Kyu humain kisi ki talash hoti hai
Kyu humain kisi ki talash hoti hai,
Kyu dil ko kisi ki aas hoti hai,
Chand ko dekho wo bhi tanha hai,
Jabki chandni ki har raat uski mulakat hoti hai,…..
maine chaha use… kya yehi meri bhool thi
dilon ki daastan usay kahan qabool thi
meri wafayain uske liye fazool thi
koi aas nahi par itna bata do
maine chaha use… kya yehi meri bhool thi
Ankho mai dekha dil mee utar ke nahi dekha,
Ankho mai dekha dil mee utar ke nahi dekha,
Kasti ke logo ne samundar ko na dekha.
Patthar Mujhe kahta hai mera chaane wala,
Mai moom hoo usne mujhe chu ke nahi dekha.
aap to anmol ho hamare liyay
Kitne aziz ho aap ye batain kaisay,
hamari sadgi aapko dikhain kaisay,
aap to anmol ho hamare liyay,
chand lafzo ke sms se apko samjhayain kaisay?
