Hasna zindagi hai,
has kar gum bholana zindagi hai,
jeet kar hanse to kya hanse,
haar kar khushiyan manaana zindagi hai
Hasna zindagi hai,
has kar gum bholana zindagi hai,
jeet kar hanse to kya hanse,
haar kar khushiyan manaana zindagi hai
Sitaro ki mehfil sey churaya hai aapko,
Dil sey apna dost banaya hai aap ko,
Is dil ko kabhi tootne na deyna
kiyon k..
Is dil k koney main chupaya hai aapko
Phool juda hai kanton se,
Khushbu se nahi,
Hum juda hai unse,
Magar dil se nahi.
Koi wada nahi phir bhi tera intazar hai,
judai ke bawajood bhi tujse pyar hai,
tere chahere ki udasi day rahi hai gawahi,
mujse milne ke lia tu bhi beqarar..
Kisi k sapnay kisi kay armaan ban jayen,
Kisi ki hansi kisi ki muskaan ban jaye,
Bay panah pyaar kehtay hain usey,
Jab kisi ki sansain kisi ki jaan ban jaye,
Mahek teri aaj bhi meri Saanson mein hai,
Har ek adaa bhi teri meri Aankhon mein hai,
Tu bhaley hi bhula dey mujh ko,
Teri jagah aaj bhi meri Yaadon mein hai.
Pee hay sharab her gali her may khanay say,
Aik dosti si ho gayai hay sharab k jaam say,
Guzray hain hum kuch aisay muqam say k,
Nafrat si ho gayai hay mohabbat k naam say…
Koi gila,koi shikwa na rahe aapse,
yeh aarzoo hai k silsila rahe aapse,
bas is baat ki badi umeed hai aapse,
khafa na hona agar hum khafa rehein aapse.
moom ki tarha pigalty howe dheka usko,
rut jo badli to badalty howe dheka usko..
wo jo kanto ko b narmi se chuwa krta tha.
humney phoolo ko masalty howey dheka usko ,
jany wo mangny jata hy duwaoon mai kisy,
hath uthathy he sisikty howe dheka usko
Apni Surat ka kabhi to didaar de
tadap raha hu ab aur na intzaar de
Apni awaaz nahi sunani to mat suna
Kam se kam 1 Missed call hee maar de