jis shaam mein mere lab per aapka naam na aaye,
khuda kare ki kabhi aisi shaam na aaye,
ae jaane wafa yeh kabhi mumkin nahin ki,
afsaana likhoon aur aapka naam na aaye.
jis shaam mein mere lab per aapka naam na aaye,
khuda kare ki kabhi aisi shaam na aaye,
ae jaane wafa yeh kabhi mumkin nahin ki,
afsaana likhoon aur aapka naam na aaye.
Teri ulfat ko kabhi nakam na hone denge
Teri DOSTI ko kabhi badnam na hone denge
Meri zindagi main Suraj nikle na nikle
Teri zindagi main kabhi shaam na hone denge.
Sunehri dhoop barsaat k baad,
Thori si hansi her baat k baad,
Jaisay aati hay subha her raat k baad,
Hum aap ko yaad kertay hain her sans k baad..
Muskurahaton say bhari ho zindagi,
Chahaton say bhara ho har pal,
Daman bhi chota lagnay lagay,
itni khushian day aapko her aanay wala kal..
Gham ney hasney na diya,
zamanay ney roney na diya,
is uljhano ney jiney na diya,
thak k jab sitaron sey panah li,
neend aayi tho aapki yaad ne sone na diya
Tanhaayiyon kay shehar mein ikk ghar banaa liya,
Rusvaayiyon ko apna mukaddar banaa liya,
Dekha hai yahan pathar ko poojtay hain loag,
Iss liye apnay dil ko ham nay pathar banaa liya,
Koi to dost mere zindagi main aisa ho,
phoolon ki tarah ho wafaon jaisa ho,
mere talash ki had us pr khatam ho jayay,
zameen per ho magar asmaan jaisa ho…
Din dhal gaya,
Phir Raat aa gayi,
Phir Tanhaii mein baithne ki baat aa gayi,
Chand ko dekha to aap ki Yaad aa gayi.
Aankho se barsat hoti hai,
jab apki yaad sath hoti hai.
Jab b busy rahe mera mobile,
samjh lena apki salamti k liye
meri khuda se baat hoti hai.
Palkon main qaid kuch sapne hain,
Kuch bayganay kuch apne hain,
Na janay kia kashish hai in khayalon main,
Woh ghair ho k bhi kitnay apne hain…