Aaj kuch ghabraaye se lagte ho,
Thand se kuch kap-kapaaye se lagte ho,
Nikhar kar aayi hai soorat aapki,
BAHUT DINO KE BAAD NAHAAYE SE LAGTE HO..
Tag: poetry sms
Neend mujhey raat bhar aati hai kam
Neend mujhey raat bhar aati hai kam ,
Shayad macharon ko bi mil gaya hai sanam
Jab barish hoti hai
Jab barish hoti hai, Tum yaad aate ho.
Jab kali ghata chaye, Tum yaad ate ho,
Jab bheegte hain tum yaad aate ho,
Bataoo Meri umbrella Kab wapis kro ge!
Dil ka dard dil torrne waley kiya jaaney
Dil ka dard dil torrne waley kiya jaaney,
Pyar ke rivajon ko zamana kiya jaaney,
Hoti hai kitni takleef larrki ko pataney main,
Ye ghar pe baitha larki ka baap kiya jaaney
Hai tu agar mera dilbar
Hai tu agar mera dilbar,
Hai tu agar mera dilbar,
To aaj ke lunch ka bill tu bhar
Karti hain itna makeup k weight barh jata hay
Bachiyon k chakker me larke jate lutt,
Or khatey hain un k bhaiyon se wo kutt…
iss waja se larke larkiyon ko chor detay hain,
Moqa mil tey hi un k bhaiyon ko phor dete hain..
Na kare makeup to un se banda dar jata hay,
Karti hain itna makeup k weight barh jata hay.
Ghalib’s girl friend late on date
Ghalib ne girlfriend ko date per bulaya wo late aayi,
Girl: Am I late ?
Ghalib:
Falak pey chand sitaron ko neend aarahi hai,
Doosri ka time ho gaya hai, tu ab aa rahi hai.
1 Larki ki dua
1 larki ki dua
Kasam se her larkay ko bhula dungi,
Sab hi ki tasveerain jala dungi,
Ek tum hi raho gay is dil main,
Balance dalwa do tumhe dua dungi,
Be-karaan tanhaaiyun ka silsila reh jaayega
Be-karaan tanhaaiyun ka silsila reh jaayega
Terey merey darmiyaan bas ek khalaa reh jaayega
Aks beh jaayenge saarey dhoop ke sailaab mein
Aur koye paaniyoun mein jhaankta reh jaayega
Mujhko merey humsafar, aisa safar darpesh hai
Raasta kat bhi gaya tou faasila reh jaayega
Laug so jaayenge khaamushi ki chadar odh ker
Chaand sooney aanganoun mein jaagta reh jaayega
Mujhey tum yaad aatay ho
Mukaddar k sitaron per,
Zamanay k esharon per,
udasi k kinaron per,
kabhe veran shehraon per,
kabhe sunsan rahon per,
kabhi hairon ankhon main,
kabhi bayjan lamhon main,
tumhari yad chupkay say,
koi sargoshi kerti hay,
yeh palkain bheeg jati hain,
do ansu tot girtay hain,
main palkon ko jhukata hon,
bazahir muskurata hon,
faqat itna he kah pata hon,
mujhey kitna sataty ho,
MUJHEY TUM YAD ATAY HO,
MUJHEY TUM YAAD AATAY HO..
