Jinhein bhulaney mein yaro, barey zamaney lagay
Jub dil dukha tou wohi loog yaad aney lagey
Tag: poetry sms
Phool jaisa tera anjaam na honay doon ga
shaam say pahlay teri shaam na honay doon ga
zindagi main tujhay na.kaam na honay doon ga
lagnay doon ga na hawa tujh ko khizaoon ki kabhi
phool jaisa tera anjaam na honay doon ga
Hum bhi kitne nadan hain
Tare asman me chamkte hain
Badal itni dur hai fir bhi barste hain
Hum bhi kitne nadan hain
Aap dil me rehte hain or hum apse milne ko tarste hai
Aaj jab dard hua to wo bahot yad aya..
Aaj rootha hua ek dost yaad aya,
acha guzra hua kuch waqt yad aya,
jo mere dard ko sine me chupa leta tha,
aaj jab dard hua to wo bahot yad aya..
Koi gham nahi magar dil udas hai
Koi gham nahi magar dil udas hai,
Tujh se koi rishta nahi phir bhi ek aas hai,
Kehne ko bohut apnay magar tu ek khas hai,
Zyada emotional na hona uper sub bakwa hai:D
Hum tumharay dil mein hain k nahi
Dosti karna hamain bhi sikhado zara,
Us dil k konay mein hum ko bhi bithado zara,
Hum tumharay dil mein hain k nahi,
Zuban say na sahi sms se to batado zara.
Khushiyon ka ek sansaar leke ayenge
Khushiyon ka ek sansaar leke ayenge,
patjhar mei bhi bahar leke ayenge,
jab bhi pukaroge pyar se hame,
maut se bhi saansen udhar leke ayenge…!
Hum apni rooh …
Hum apni rooh tere jism mein he chhor aye Faraz….
Tujhy galay se lagana tu ek bahana tha…
Mubarak naam hai tera
Mubarak naam hai tera,
mubarak Eid ho tujhko,
jise tu dekhna chahe
usi ki deed ho tujko
EID MUBARAK.
Kehdo un parhne walon se
Kehdo un parhne walon se,
Kabhi hum bhi parha kertay thay,
Jitna syllabus parh k wo top kertay hain,
Utna to hum choice per chor dia kertay thay,
