Koshish karo k koi tum se na roothay,
Zindagi main apno ka sath na chootay,
Rishta koi bhi ho use aisay nibhao,
K us rishtay ki dor zindagi bhar na totay.
Koshish karo k koi tum se na roothay,
Zindagi main apno ka sath na chootay,
Rishta koi bhi ho use aisay nibhao,
K us rishtay ki dor zindagi bhar na totay.
Ghamon k selaab tu pehle bhi bardasht kr lete thy Saqi
Par ab tu ek katray se bhi aankhain bheeg jati hain
Tujhy bhul jaon ye koshish kr k dakhun ga..
wesy daryaon ka ulta behna mumkin nai..
Dil ki nazuk dhadkano ko
Mere sanam tumne dhadkana sikha diya
Jab se mila hai tera pyaar dil ko
Gham ne bhi muskurana sikha diya.
ISHQ wahi hai jo ho ektarfa,
IZHAR e ishq to khwahish ban jaati hai,
HAI agar ishq to aankho mein dekho,
ZUBAN kholne se ye numaish ban jaati hai..
Kon Tole Ga Hiroon Mein Ab Hamare Ansoo Faraz ?
Woh Jo Ik Dard Ka Tajir Tha DukaN Choor Geya…
wo baat baat pay deta hai Parindoun ki misal Faraz
saaf saaf nahi kehta mera sheher hi chor do
Kaun kehta hay k teri yaad say ghafil hay Saquib
Bister ki har shikan se poch kaisay guzarti hay raat meri..!
Mehfil k rang aur hote Tanhaian kash na hoten
Itne be rang na hote Judaian kash na hoten
Aisa ehsas na hota tere narm o nazik badan ka Shah
Aalam e madhoshi main pakri kalaian kash na hoten
Milne ki khushi hai ya bichadne ka gum,
Ankhon mein aansu hai ya udas hai ham,
Kaise kahain k kaisey hain ham,
Bas itna samaj lena k tum bin bohat akele hai ham,