Apke aane se zindagi kitni khubsoorat hai,
Dil me basayi hai jo woh apki hi surat hai,
Dur jaana nahi humse kabhi bhulker bhi,
Hume har kadam per aapki zarurat hai.
Tag: love poems for her
chaha hai is ko rooh ki gehraiyoon ke sath
chaha hai is ko rooh ki gehraiyoon ke sath
zinda hoon apni zaat ki tanhaiyon ke sath,
roka nahi tha us ko becharne ke waqat bhi
apni wafa peh naaz tha sachiyon ke sath
Bhulana tumhain na aasan ho ga
Bhulana tumhain na aasan ho ga,
Jo bhulay tumhain wo nadaan ho ga,
Aap to bastay ho rooh main hamari,
Bus aap hamain na bhulana yeh aap ka ahsan ho ga..
Zaruri to nahi jine k liye sahara ho
Zaruri to nahi jine ke liye sahara ho,
Zaruri to nahi hum jinke hain who humara ho,
Kuch kashtiya dub bhi jaya karti hai,
Zaruri to nahi har kashti ka kinara ho.
Zindagi ki raho pe jab aage jaoge
Zindagi ki raho pe jab aage jaoge,
Peeche ek saya tum hardam paoge,
Mud k dekhoge to tanhai hogi,
Agar mahsoos karoge to humko paoge.
Yaad aate hai to zara kho lete hai
Yaad aate hai to zara kho lete hai
Aansu ankho me uter aye to zara ro lete hai
Nind aakho me aate nahi laken
Aap khuwabon me ayaingay yahi soch kar so lete hai
Jaane kyun iss jahan mein aisa hota hai
Jaane kyun iss jahan mein aisa hota hai,
Khushi jise mile wohi Rota hai,
Umar bhar saath nibha na sake jo,
Jaane kyun Pyaar ussi se hota hai.
Meray paon main zanjeer nazar ayai
Jub jab aap say milnay ki umid nazar ayai,
Meray paon main zanjeer nazar ayai,
Gir paray aason aakhon say or,
her ek aasun main aap ki tasveer nazar ayai
Mar gaye ham magar khuli rahein aankhain
Zakham itnay gehray hain izhaar kia karain,
Hum khud nishana ban gaye hain waar kia karain,
Mar gaye ham magar khuli rahein aankhain,
Ab is say ziyadah unka intezaar kia karain…
Tum dilse pukar lena hum kafan chor denge
Panchi keh rahey hain k hum chaman chor denge,
aur sitare keh rahey hain ki hum gagan chor denge,
Agar tere ishq mein main mar bhi jaun ae sanam,
Tum dilse pukar lena hum kafan chor denge
