Royengi ye aankhein muskuraane ke baad,
Aayegi raat din dhal jaane ke baad,
Tum kabhi naa ruthnaa mujhse ae yaar,
Shayad ye zindagi hi na ruth jaaye,
Tumhare rooth jaane ke baad.
Tag: love poems for her
Her sahara bhool jatey hain
Yeh Bahein Humein jab
apni Panahon mein bulathi hein,
Humein apni Kasam hum
har Sahara bhool jatey hain…
Mita dain gay yeh doori, yeh faslay sab hi
Mita dain gay yeh doori, yeh faslay sab hi,
Kaho gi aik baar k milo aa k kabhi,
Na hoon gay door phir tum say is zindagi main,
Khulra rakho tum dar apna, hum aatay hain abhi…
Zindagi mohtaj nahi manzilon ki
Zindagi mohtaj nahi manzilon ki,
Waqt har manzil dikha deta hai.
Marta nahi koi kisi se juda hoke,
Waqt sabko jina sikha deta hai.
is nacheez ko yaad kiya karo!
Hasi ke raste pe chala karo,
khushiyo ki mahak liya karo,
pyar se dilon ko chuha karo,
jahan tumhe ghum nazar aaye,
is nacheez ko yaad kiya karo!
Wo khush naseeb hain k unhe auron ka pyar mila
wo khush naseeb hain k unhe auron ka pyar mila,
hum apni takdeer say lartay reh gaye,
hum to unki yaadon ko bhi samait na paaye,
wo hamaray ashqon k zariye beh gaye…….
Patharon say tha apna rishtaa
Apnay dushman say hi dil laga baithay,
Unki saadgi say faraib kha baithay,
Patharon say tha apna rishtaa,
Phir bhi sheeshay k ghar bana baithe..
Ghamon say kia darna wo to sab hi ko miltay hain
Ghamon say kia darna wo to sab hi ko miltay hain
Pholon ko daikho hamaisha kanton k beech khiltay hain
Pyar ka dard meetha hota hay
Na janay tum pay itna yaqeen kion hay?
Tera khayal bhi itna haseen kion hay??
Pyar ka dard meetha hota hay…
to aankh say nikla yeh ansu namkin kion hay?
Jeena to paray ga hi kaisay bhi pyaray
Zindagi ki kashti kab lagay, koon say kinaray,
Kab isay milay gi, man chahi baharain,
Jeena to paray ga hi kaisay bhi pyaray,
Kabhi doston ki bheer main, to kabhi tanhai k saharay
