Na mila dil ka qadardaan is zamanay main,
Yeh sheesha toot gaya hai daikhnay aur dekhanay main,
Gii main aata hai ek roz shamma say pochoon,
Maza kis main hai, jalnay main ya jalanay main…?
Na mila dil ka qadardaan is zamanay main,
Yeh sheesha toot gaya hai daikhnay aur dekhanay main,
Gii main aata hai ek roz shamma say pochoon,
Maza kis main hai, jalnay main ya jalanay main…?
Dard hota nahi Duniya ko dikhane k liye,
Har koi rota nahi Aansu bahane k liye,
Ruthne ka mazaa to tab aata hai,
Jab koi apna ho manane k liye.
Yaaden teri rakh di hai sambhalkar,
Dur kahi is dil se nikalkar.
Sab kuch to vapas le liya hai aapne dur jaakar,
in yaadon ko bhi le jana kisi roz aakar..
Ae chand tu bhool jayega apne aap ko,
Jab sunay ga dastaan mere pyaar ki,
Kion karta hai tu ghuroor apne aap pe itna,
Tu to sirf “PARCHAI” hai mere “YAAR” ki…
Nigahain Aapki Pehchaan Hain Hamari,
Muskurahat Aapki Shaan Hai Hamari,
Rakhna Hifazat Se Apne Aap Ko Kyounki,
Sanse Aapki Jaan Hai Hamari
Phulo Mein Haseen Gulab Hai,
Parhai Ke Liye Zaroori Kitaab Hai,
Duniya Me Har Sawal Ka Jawab Hai,
Agar Koi Tumse Mere Bare Me Puche To Kehna Wo Lajawaab Hai
Roshni say hamain apnay dil ko jalana para,
Dard seh ker bhi hamain muskurana para,
Aap log sada hastay rahay,
Is liye hamain aanso’on ko chupana para.
Kaash bananay walay nay dil kaanch k banayai hotay
Kam say kam tornay walay k haath mein zakham tou ayai hotay.
bekhudi ki zindagi hum jiya nahi karte.
jaam dusron se cheen kar hum piya nahi karte.
agar unko mohabbat hai toh hum se akar izaar kare.
peecha hum bhi kissi ka kiya nahi karte
Zamane se nahin hum tanhai se darte hain,
Pyar se nahin hum rusvayee se darte hain,
Dil mein umang hai tujhse milne ki,
Par milne ke baad aane wali judaai se darte hain.