Ek hai asman ka tara ,
Ek hai sagar ka kinara,
Bewafa hai zamana sara,
Nasib hai achha hamara,
JO mila DOST aap jaisa Pyara..
Tag: hindi shayari
Ashqon se nahi bujhte shole dard-e-pyarke
Ashqon se nahi bujhte shole dard-e-pyarke,
Maut bhali aisay lambe intezar se,
Marte hain roz bina dedar-e-yar ke,
Tanhahi ache the us BEWAFA ke pyar se
Yun nazar ki baat aur dil chura gaye
Yun nazar ki baat aur dil chura gaye,
Andhero ke saaye mein dhadkan suna gaye,
Hum to samjhe the “Ajnabi” aapko,
Aap to hume apna bana gaye
meri wafa ka un per koi asar nahin hai
Mein ghamzada hoon lekin meri aankh tar nahin hai
Mujh par kya hai guzri un ko khabar nahin hai
un ka salook dekh ker hairat zada hai dil
k meri wafa ka un per koi asar nahin hai.!
Koi khuwahish nahi is deewanay ki
Hasrat hai sirf unhe pane ki,
aur koi khwahish nahi is deewane ki,
shikwa mujhe unse nahi khuda se hai,
kya zarurat thi unhe itna haseen banane ki….
Main nay bhi kisi say pyar kiya tha… mazak kia tha
Main nay bhi kisi say pyar kiya tha…
thoda nahi bay shumar kiya tha,
Meri to duniya hi badal gayi.
Jab usne kaha…
Aray mein nay to sirf mazak kiya tha
Jo rehtay hain sada dil mein unhain dhoonda nahi kertay
Jo rehtay hain sada dil mein unhain dhoonda nahi kertay
Jo ruch jain rag o pay mein unhain socha nahi kertay
Baharon kay ghanay saye mein tulkhi bhi, chubhan bhi hai
Bamon ki dhoop ka tum say mager shikva nahi kertay
Nahi aatay kabhi bhi laot ker guzray huay maosam
Barastay badlon ki aas mein tarsa nahi kertay
Tajasus aur berhta hai machal jatay hain sun ker hum
Achanak piyar ki baton ka rukh mora nahi kertay
Teri nazer e inayat say huay jatay hain jo ghayal
Unhain qatil nigahoon say kabhi dekha nahi kertay
Phool khile, kaliyan khili,
Phool khile, kaliyan khili,
wah wah…
phool khile,kaliyan khili ,
Ab gulab ki baari hai…
hamne to sms bhej diye
janab ab aapki bari hai…
Na jane konsi baat aakhri hogi
Na jane konsi baat aakhri hogi,
na jane konsi raat aakhri hogi,
karni hai to karle jee bhar ke baatein,
na jane hamari konsi saanse aakhri hogi.
Pyar ka har farz ada kiya hum nay
Teri berukhi ko bhi rutba diya hum nay.
Pyar ka har farz ada kiya hum nay.
Mat soch ke hum bhool gaye hain tujhey.
Aaj bhi khud se pehle tujhey yaad kiya hum nay.
