Na illm tha mohabbat kya cheez hai,
Na bekarari na rusvayi ka pata tha,
Tum kya aaye mere zindagi mein,
Hum apna naam tak bhool chuke.
Na illm tha mohabbat kya cheez hai,
Na bekarari na rusvayi ka pata tha,
Tum kya aaye mere zindagi mein,
Hum apna naam tak bhool chuke.
Kaash dil ki awaaz me itna asar ho jaye
k hum jise yaad karain usey khabar ho jaye
rab se yahi dua hai meri k
aap jise chahain woh aap ka humsafar ho jaye
Yeh sach hai k Aa jata hai shohrat ka Asar..
insaan to kiya dar-o-deewar badal jate hain..
Aur bewafa badle ya naa badle..
Waqt aane par wafadar badal jate hain.
Kya Kahe ki Kuch Kaha Nahi jaata,
Dard-Meetha hai par Saha Nahi jaata,
Dosti Ho gayi hai is Kadar aapse ki,
Bina yaad kiye Raha Nahi jata?
Lamhey ye sunheri kal sath hon na hon,
Kal mein aaj jaisi baat hon na hon,
Yadon ke hasin lamhe dil me rehenge,
Tamaam umer chahe mulaqat ho na ho..
Nazar ne Nazar se mulaqat kar li,
Rahe dono chup par bat kar li,
Khushiyon ka mausam kuch iss kadar badla,
Ki in aankhon ne ro-ro kar barsaat kar li.
Tum joo kahooo woh har khuwaish puri ho tumhari…
Khuda say bhi bus yahi duaa hai humari….
Zakham itna gehra hai izhaar kya karain
hum khud nishana ban gaye vaar kya karain
soo gaye hum magar khuli rahi aankhen
is se zyada unka intzaar kya karain?
Yaad karnay ki aadat nahi hai,
Hume bhulaane ki ijazat nahi hai,
Mubarak ho tum ko ye aadat tumhari,
Hume tum se koi shikayat nahi hai.
Nigahain mila kar kiya dil ko zakhmi,
Ada’ain dikha kar sitam dhaa rahi ho,
Wafaaon ka khoob sila diya,
Ab tadapta hua chor kar jaa rahi ho.