Jaane kyun iss jahan mein aisa hota hai,
Khushi jise mile wohi Rota hai,
Umar bhar saath nibha na sake jo,
Jaane kyun Pyaar ussi se hota hai.
Tag: hindi shayari
Meray paon main zanjeer nazar ayai
Jub jab aap say milnay ki umid nazar ayai,
Meray paon main zanjeer nazar ayai,
Gir paray aason aakhon say or,
her ek aasun main aap ki tasveer nazar ayai
Mar gaye ham magar khuli rahein aankhain
Zakham itnay gehray hain izhaar kia karain,
Hum khud nishana ban gaye hain waar kia karain,
Mar gaye ham magar khuli rahein aankhain,
Ab is say ziyadah unka intezaar kia karain…
Tum dilse pukar lena hum kafan chor denge
Panchi keh rahey hain k hum chaman chor denge,
aur sitare keh rahey hain ki hum gagan chor denge,
Agar tere ishq mein main mar bhi jaun ae sanam,
Tum dilse pukar lena hum kafan chor denge
Aapki DOSTI Ki ek Nazar Chahiye
Aapki DOSTI Ki ek Nazar Chahiye,
Dil hai bay ghar use ek ghar Chahiye,
Bas yun hi SAATH chalte raho ae DOST,
Ye DOSTI humain UMARBHAR Chahiye…!!
Mehfil ko rula daitay
Dil ka dard dil main dabaye rakha,
Koi na mila aisa jis pay duniya luta daitay,
Sab nay diya dhooka kis kis ko bhula daite,
Dil ka dard dil main dabaye rakha,
Bayan kia hota to mehfil ko rula daitay
us ne poocha kon ho tum main nay kaha hasrat tumhari
us ne poocha kon ho tum main nay kaha hasrat tumhari
us ne kaha dekhtay kia ho main nay kaha soorat tumhari
us ne kaha karte ho kia main nay kaha ibadat tumhari
us ne kaha kafir ho kia main nay kaha ye hi sahi
us ne kaha chahtey ho kia main nay kaha muhabbat tumhari
us ne kaha pachtao gay main nay kaha qismat hamari
Har phool par yun aaitbar na kijiye
Bagair jane pehchane iqrar na kijiye,
muskura kar dilo ko beqrar na kijiye,
phool bhi dey jatay hain zakham gehray kabhi kabhi,
har phool par yun aaitbar na kijiye
Sodagaron k hathon neelam ho jao gay
Mujh say bicher k baynaam ho jao gai,
Sodagaron k hathon neelam ho jao gay,
Mujh ko acha nahin lagta tera her ek say milna,
Her aik ko mayas’sar howay to aa’am ho jao gay
Pyase ko 1 qatra pani kafi hai
Pyase ko 1 qatra pani kafi hai,
ishq mein 4 pal ki zindgani kafi hai.
Dubney ko samander mein jayain kahan,
unki palkon sey tapka wo pani kaafi hai.
