Phool khiltay hain baharon ka sama hota hay,
Aisay mousam main tou pyaar javaan hota hay,
Dil ki batoon ko to honton say nahin kehtay,
Yeh afsana to nigahon say bayan hota hay….
Phool khiltay hain baharon ka sama hota hay,
Aisay mousam main tou pyaar javaan hota hay,
Dil ki batoon ko to honton say nahin kehtay,
Yeh afsana to nigahon say bayan hota hay….
Kaash main chand tuu taara hota,
Falak pey ek aashiyana hamara hota,
Sub tujhey door bohut door sey daikha kertay,
Par tujhey milnay ka haq sirf hamara hota…
Mana aaj unhe hamara koi khayal nahi,
jawab dene ko hum razi he par koi sawal nahi,
pucho unke dil se kya hum unke yaar nahi,
kya hamse milne ko wo bekarar nahi
Ae zindagi tujh say ab na main kar paungaa wafaa,
Ab apnay bandhanon say mujhay tu azaad kar day,
Galti say kuchh phool meray daaman mein aa giray thay,
Wapas tu lay lay inko aur iss mein kantay tu bhar day,
Totay howay paimanay main jaam nahin aata,
Ishq k mareez ko araam nahin aata,
Aey dil tornay walay tuney yeh to socha hota,
Toota howa dil kisi k kaam nahin aata.
Pane se khone ka maza aur hai,
Band aankho se dekhne ka maza kuch aur hai,
Aansu bane lafz aur lafz bane ghazal,
Teri yaado ke saath jine ka maza kuch aur hai.
Jawani ke din chamkiley ho gaye,
husn ke taiwar nookilay ho gaye,
hum izhar karney main thoray dhiley ho gaye,
AUR UNKE HATH PEEL HO GAYE….
Zindagi nahin hamain doston say pyari,
Doston pay hazir hay jaan hammari,
Ankhon main hamaray ansu hain to kia,
Jaan say bhi pyaari hay muskaan tumhari..
Royengi ye aankhein muskuraane ke baad,
Aayegi raat din dhal jaane ke baad,
Tum kabhi naa ruthnaa mujhse ae yaar,
Shayad ye zindagi hi na ruth jaaye,
Tumhare rooth jaane ke baad.
Yeh Bahein Humein jab
apni Panahon mein bulathi hein,
Humein apni Kasam hum
har Sahara bhool jatey hain…