Roye Hain Buhat Tab Zara Qaraar Mila Hai.
Is Jahan Mein kise Bhala Sacha Pyaar Mila Hai.
Guzar rahi hai zindagi Imtehan ke daur se.
Ek khatam Hua Toh Dusra Tayar Mila Hai.
Tag: hindi shayari
Aik zara si bhool khata ban gayai
Aik zara si bhool khata ban gayai
Meri wafai hi meri saza ban gayai,
Dil liya aur khail ker tor diya,
Hamari jaan gayai unki ada ban gayai
Eid k din masjid ke paas se
Na guzarna Eid k din masjid ke paas se,
kahin log chand samajhkar apna roza na tod den…
aur ho ke khafa khuda aap se..
kahin khubsurat log banana na chor dey
Hum wo ishq hain jo dil bankar dharaktay hain
Hum wo ishq hain jo dil bankar dharaktay hain,
hum wo khushbo hain jo baho mein mahakte hain,
humse pyar na karna e-zalim
hum vo dard hain jo ankhon se chalakte hain..!
Chandni raat main jab sara jahan sota hai
Chandni raat main jab sara jahan sota hai
kisi ki yaad main koi badnaseeb rota hai
Mushkil hota hai jawab dena
Koi aankhon aankhon se baat kar leta hai,
Koi aankhon aankhon mein mulakat kar leta hai,
Mushkil hota hai jawab dena,
Jab koi khamosh rehkar bhi sawal kar leta hai
Koi humara nahi hota
Dard me koi mousam pyara nahi hota,
Dil ho pyasa to pani se gujara nahi hota.
Koi dekhe to humari bebasi,
Hum sabhi k ho jate hain
Par koi humara nahi hota.
Hum mitti ka aashiyana banate gaye
Hum mitti ka aashiyana banate gaye,
bana bana kar unhe mitate gaye,
humain koi na apna bana saka,
hum har kisi ko apna banatay gaye
Kisi ko meri yaad aye ek arsa hua
Kisi ko meri yaad aye ek arsa hua,
koi hai hairan to koi tarsa hua.
Is tarah khamosh hain ye dil ye aankhe meri,
Jaise khamosh ho koi badal barsa hua.
har laash per kafan hota hai….
Zamin k paap chupanay ko gagan hota hai,
Mann ka paap chupanay ko badan hota hai,
Shayud mar ker bhi paap chupatay hain log,
Esi liye har laash per kafan hota hai….
