wo khush naseeb hain k unhe auron ka pyar mila,
hum apni takdeer say lartay reh gaye,
hum to unki yaadon ko bhi samait na paaye,
wo hamaray ashqon k zariye beh gaye…….
wo khush naseeb hain k unhe auron ka pyar mila,
hum apni takdeer say lartay reh gaye,
hum to unki yaadon ko bhi samait na paaye,
wo hamaray ashqon k zariye beh gaye…….
Apnay dushman say hi dil laga baithay,
Unki saadgi say faraib kha baithay,
Patharon say tha apna rishtaa,
Phir bhi sheeshay k ghar bana baithe..
Ghamon say kia darna wo to sab hi ko miltay hain
Pholon ko daikho hamaisha kanton k beech khiltay hain
Na janay tum pay itna yaqeen kion hay?
Tera khayal bhi itna haseen kion hay??
Pyar ka dard meetha hota hay…
to aankh say nikla yeh ansu namkin kion hay?
Zindagi ki kashti kab lagay, koon say kinaray,
Kab isay milay gi, man chahi baharain,
Jeena to paray ga hi kaisay bhi pyaray,
Kabhi doston ki bheer main, to kabhi tanhai k saharay
Apnay pyar ko chupana chaha, per chupa na sakay,
Deewanay dil pay qabu hum, paa na sakay,
Aaj itnay qarib say guzar gayai woh,
Phir bhi unka haath hum thaam na sakay…
Teri dosti hum es tarah nibhain gay,
Tum roz khafa hona hum roz manain gay,
Per maan jana manany say,
Werna yeh bheegi palkain lay k kahan jayaingay
Hasna zindagi hai,
has kar gum bholana zindagi hai,
jeet kar hanse to kya hanse,
haar kar khushiyan manaana zindagi hai
Sitaro ki mehfil sey churaya hai aapko,
Dil sey apna dost banaya hai aap ko,
Is dil ko kabhi tootne na deyna
kiyon k..
Is dil k koney main chupaya hai aapko
Phool juda hai kanton se,
Khushbu se nahi,
Hum juda hai unse,
Magar dil se nahi.