Sooni zindagi me halchal mehsoos hui,
bejan dil me dharkan mehsos hui,
janey kion aaj aisa laga,
shayad tumhari kami mehsoos hui.
Sooni zindagi me halchal mehsoos hui,
bejan dil me dharkan mehsos hui,
janey kion aaj aisa laga,
shayad tumhari kami mehsoos hui.
Mujhe tujhse milne ki taqdeer nazar aayi,
mujhe apne pairon mein zanjeer nazar aayi.
Jitne aansoo bahaye teri yaad mein,
har aansoo mein tasveer teri nazar aayi…..
Wo laut aayega teri zindagi mein,
jiska intzaar tujhe aaj bhi hai,
maana waqt ney ki hai bewafai tujhse
lekin meri duaon me asar aaj bhi hai
Palkon me qaid kuch sapne hain…
kuch begane kuch apne hain…
na jane kya KASHISH hay in khayalon main…
woh ghair hoke bhi kitne apne hain…
Tumharay pyaar main ham nay bohot zakham khaye,
Jis ka hisaab na ho sakay utnay dard paaye,
Phir bhi tere pyar ki qasam kha k kehta hon,
Hamaray lab pay tumhare liye sirf pyaar aaye
Jo rehtay hain sada dil mein unhein dhonda nahin kertay,
Jo ruch jayain rag-o-pay main unhein socha nahin kertay,
Baharon k ghanay sayai mein talkhi bhi, chubhan bhi hay,
Ghamon ki dhoop ka tum say magar shikwa nahin kertay,
Nahin aatay kabhi bhi loot ker guzray howay mousam,
Barastay badalon ki aas mein tarsa nahin kertay,
Tajasus aur barhta hay machal jatay hain sun ker hum,
Achanak pyar ki baaton ka rukh mora nahin kertay,
Teri nazar inayat say howay jatay hain jo ghayal,
Unhein qatil nigahon say kabhi daikha nahin kertay
mita dain gay yeh duri, yeh faslay sabhi!
kaho gi ik baar kay milo aa kay kabhi!
na hon gay durr phir tum say is zindagi main!
khula rakho tum dar apna, hum atay hain abhi!
In ankhon main aansu ayai na hotay,
Agar tum pichay mur ker muskuraye na hotay,
Tumharay jaanay k baad yeh ghum hota hay,
Kaash tum zindagi main ayai hi na hotay….
Dil me har raaz daba k rakhte hain,
Honto pay muskan saja k rakhtey hain,
Ye duniya sirf khushi main saath deti hay,
Is liye hum apne aanso chupa k rakhte hain…
Kisi na kisi pe kisi ko aetbar ho jata hai,
ajnabi koi shaks yaar ho jata hai,
khubiyon se nahi hoti mohabbat bhi sadaa,
khamiyon se bhi aksar pyaar ho jata hai