SMS4Life

Best funny sms text messages and jokes collection




Tag: hindi shayari

Uss k honton ka tabassum rahay qayaim “YA RUB”

Uss k honton ka tabassum rahay qayaim “YA RUB”
Uss k jeevan main khushiyon ka basaira ker day…

Tu meri “KARB” ki raaton ko bhalay khatam na ker,
Uss ke her shaam k aakhir mai “SAWAIRA” ker day.

Uss k “DIL” k kisi konay main jaga day mujh ko…
Uss ki “AANKHON” ko meray sapnon say khaira ker day

Yeh meray dil ki dua hay “MERA MOLA SUN LAY”…
Saaaari duniya say chupa ker “USSAY MERA KER DAY”

Aaj dareechay main woh aana bhool gaya

Aaj dareechay main woh aana bhool gaya
main bhi apna diya jalana bhool gaya,

aaj mujhe bhi uski yad nahi aayi
woh bhi mere khuwab main ana bhool gaya,

bahaar ne jub se aana chore diya
mousam bhi apna phool khilana bhool gaya,

chalte chalte main usko gher lay aayi
woh bhi muj se apna hath chudana bhool gaya,

khat likha hai par khat ke koney par
woh apni ankh ka ansoo mitana bhool gaya

rooth ke dono aik jaga baithey rahey
main usko woh mujko manana bhool gaya

Zindagi qaid-e-musalsal ka siwa kuch bhi nahi

Zindagi qad e musalsal ka siwa kuch bhi nahi
Kiya tha  jurm- e -wafa  is  k siwa kuch bhi nahi
 
Jeenay ki arzo ma roz mar rahey han
Dawa teri muhabbat ka siwa kuch bhi nahi
 
Khnchti  ha  appni  taraf  gulshan  ki  rang- o- bu
Kashish phoolon ma khushboo ka siwa kuch bhi nahi
 
Bhool  jana  aik  naymat  ha  kuda  ki   islia
Bhoolna tera  haqeeqat ka siwa kuch bhi nahi
 
Thora  ha  farq  baqi  insan aur  hewan  ma
Saqi tujh ma muhabbat ka siwa kuch bhi nahi

SMS4Life © 2018 Frontier Theme