SMS4Life

Best funny sms text messages and jokes collection




Tag: hindi shayari

Sadion say jaagi aankhon ko …

Sadion say jaagi aankhon ko ek baar sulanay aa jao
Mana k tum ko pyar nahi nafrat hee jatanay aa jao

Jis mor pay hum ko chor gaye hum baithay ab tak soch rahay
Kya bhool hui kyou juda huway bus yeh samjhanay aa jao

Har lamha teri furqat mein hum tarsay rahay
Meri manoo tum is dil ko kuch pal behlanay aa jao

Kab kaun kisi ka hota hai

Kab kaun kisi ka hota hai
Sub jhootey rishtey naate hain…

Sub dil rakhney ki batein hain
Sub asal roop chhupate hain…

Ikhlaq se khali log yahan
Lafzon ke teer chalate hain…

I baar nigahon mein aakar
Phir saari umar rulate hain…

Who jis NE diye hain ashk humein
AB us ko bhool hi jaate hain…

Aur mujh hi say daman chura to na lo gay

Agar mein bata don mein kia chahti hon
nazron say apni gira tou na doo gay

Jo mein chahti hon, woh tub bhi na chaho
Mujhey koi kari si saza tou na do gay

Mein mohabbaton mein jabar ki qayal nahin hon
Dil laga ker mujh ko bhula to na doo gay

Jo mein bata don meray mun main kia hay
Tum jahan mein tamasha bana to na do gay

Darti hon tum say mein raaz-e-dil sunatay
Tum hansi main baat ura to na do gay

Agar mein bata don mein kia chahti hon
Wafaon k badlay jafa to na do gay
Aur mujh hi say daman chura to na lo gay

Muhabbat Ki Jhuthi Kahani Pe Roye

Muhabbat Ki Jhuthi Kahani Pe Roye
Badi Chot Khai Javani Peh Roye

Javani Peh Roye

Na Socha Na Samajha, Na Dekha Na Bhala
Teri Aarzoo Ne, Hume Mar Dala
Tere Pyar Ki Meherbani Peh Roye
Muhabbat Ki Jhuthi Kahani Pe Roye
Badi Chot Khai Javani Peh Roye

Javani Peh Roye

Khabar Kya Thi Honto Ko Seena Padega
Mohabbat Chupa Kar Bhi, Jeena Padega
Jiye To Magar Zindagani Pe Roye

Muhabbat Ki Jhuthi Kahani Pe Roye
Badi Chot Khai Javani Peh Roye

Javani Peh Roye

Aisa kabhi na karna

Tum roth jao mujhse, Aisa kabhi na kerna,
Main ik nazar ko tarsoon, Aisa kabhi na kerna,

Main poch poch haron, so so sawal kar k,
Tum kuch jawab na do, Aisa kabhi na kerna,

Main kisi roz tum ko sada dun,
Aur tum na aao, aisa kabhi na karna,

Tum chaley jao jab bhi to dekhon tumhara rasta,
Tum loat k na aao, Aisa kabhi na karna….!!

Har yaad ko youn zakham banatay nahin dil ka

har yaad ko youn zakham banatay nahin dil ka,
har teer ko paivest rug-e-jaan nahin kertay,

Yeh masla ab ahal-e-mohabbat ka hai apna,
Mertay hain to kuch aap pay ahsaan nahin kertay,

Khat layain na layain tera hum naama bron ko,
Bus daikhtay rehtay hain paraishan nahin kartay,

Aisay bhi tou rakhtay nahin khanjar pay gulo ko,
Itna bhi to qatil ko pashaiman nahin kartay,

Kub shamain jalata hai shab-e-mah main koi,
Tu ayai tou ham ghar main charaghan nahin kartay,

Logon ko guman tuk nahin hota hay junoon ka,
Hum dil ki tarah chaak-e-garaiban nahin kertay,

Hum tuj kay chalay aatay hain yaaro dar-e-janan,
Ghalib ki tarah minnat-e-darban nahin kertay

Ham say chahta tha k hum iltija karain

Kamzoor badbaan hay, hawa taiz kia karain
Aa apni kashtiyon ko supurd-e-khuda karain !

apni tabahiyon main hi jub apna haath ho
phir dhushmano k waastay kiya bad-dua karain

Shaki-e-namurad ko tarsaya umer bhar
Ham say chahta tha k hum iltija karain

Hamnay yun ghurbaton main raat bitayee hay sanam,
Bhookay faqeer ko ab rukhsatzada karain

Duniya teray faraib say jobach k nikle
To sahiloon pay hum bhi namazain ada karain

Samandar to samandar hai, kabhi bola nahin kertay

Khamosh lehje mere hamdam kabhi bola nahin kertay,
Dard-o-gham ko her kisi k samnay khola nahin kertay,

Mohabbat to mohabbat hai,
Bari anmol hoti hai,

Mohabbat ko tarazu main kabhi tola nahin kertay,
Mere khamosh rehne per koi ilzam mat dena,

Samandar to samandar hai, kabhi bola nahin kertay,

SMS4Life © 2018 Frontier Theme