Aik zara si bhool khata ban gayai
Meri wafai hi meri saza ban gayai,
Dil liya aur khail ker tor diya,
Hamari jaan gayai unki ada ban gayai
Aik zara si bhool khata ban gayai
Meri wafai hi meri saza ban gayai,
Dil liya aur khail ker tor diya,
Hamari jaan gayai unki ada ban gayai
Na guzarna Eid k din masjid ke paas se,
kahin log chand samajhkar apna roza na tod den…
aur ho ke khafa khuda aap se..
kahin khubsurat log banana na chor dey
Kanton mein rehkar bhi Zindagi ji lete hain,
Har Zakhm ko apne hathon se si lete hain,
Jiss hath ko keh diya apno ka hath,
Uss hath se hum Zeher bhi pi lete hain,
Badban khulnay say pehlay ka ishara dekhna
Main samandar dekhta hoon tum kinara dekhna
Yoon bicharna bhi buhat asan na tha tum sa magar
Jatay jatay uska woh murd ker dobara dekhna.
Har taraf noor hai khusboo hai
Teri ankhon mein kaisa jadoo hai
Sari duniya hai meri jholi mein
Aur duniya meri bas tu hai
Pane se khone ka maza aur hai,
Band aankho se dekhne ka maza kuch aur hai,
Aansu bane lafz aur lafz bane ghazal,
Teri yaado ke saath jine ka maza kuch aur hai.
Jawani ke din chamkiley ho gaye,
husn ke taiwar nookilay ho gaye,
hum izhar karney main thoray dhiley ho gaye,
AUR UNKE HATH PEEL HO GAYE….
Zindagi nahin hamain doston say pyari,
Doston pay hazir hay jaan hammari,
Ankhon main hamaray ansu hain to kia,
Jaan say bhi pyaari hay muskaan tumhari..
Raat ki tanhai se darte hai hum,
kagaz ki parchhai se darte hai hum,
Duniya sath chale na chale,
tumhari sath ki umeed karte hai hum
Jub koi khayal dil say takrata hay,
Dil na chah ker bhi khamosh reh jata hay,
Koi sub keh ker pyar jatata hay, To,
Koi kuch na keh ker bhi pyar nibhata hay