Bheeg jaati hain meri palkein jab tanhai main
Dar lagta hai, koi wajah jaan na le.
Dar to yun bhi lagta hai k koi meri
Aankhon me tumhe dekh k pehchaan na le.
Tarasti nazron ki pyaas ho tum
Tarasti nazron ki pyaas ho tum,
Taraptay dil ki aas ho tum,
Bujhti zindagi ki saans ho tum,
Phir kaise na kahu kuch khaas ho tum.
Un se dur bhala hum kaise reh paatay
Un se dur bhala hum kaise reh paatay
Dil se unhe kaise bhula paatay
Kaash ki woh sanso ke ilava aayine mein bhi hote
Khud ko bhi dekhte to woh nazar aate
Na hume aapse sikwa hai na sikayat hai
Na hume aapse sikwa hai na sikayat hai,
Hume to bas aap hi se chahat hai,
Koi aa kar keh de aapko mohabbat nahi hai humse,
Hum to yahi kahenge aapko jhooth bolne ki adat hai
Zindgi kisi ki mohtaj nahi hoti
zindgi kisi ki mohtaj nahi hoti
dosti sirf jazbaat nahi hoti
kuch to khayal aaya hoga khuda ko,
varna yu hi aapki humse mulakat nahi hoti.
Aankhon mein aansuon ko ubharne naa diya
Aankhon mein aansuon ko ubharne naa diya,
Mitti ke motioyn ko bikhrane naa diya,
Jiss raah par pade tere kadmon ke nishan,
Uss raah se kissi ko guzrane naa diya.
Tumhari yaad aati hai to aankhein bheeg jaati hai
Tumhari yaad aati hai to aankhein bheeg jaati hai,
Tumhari yaad aati hai to raat beet jaati hai,
Bhulana to bahut chaha magar yaadein to yaadein hai,
Kabhi hum haar jaate hai kabhi yeh jeet jaati hai.
Hum khak Zamee ki hokar ,
Hum khak Zamee ki ho kar ,
Uss Chand ki hasrat kar baithe,
Woh cheez khuda se unchi thi,
Hum jiss se Mohabbat kar baithe.
Jise hum chahte hai woh auron ke Deewanay hain,
Duniya mein sab begane hain,
Jise hum chahte hai woh auron ke Deewanay hain,
Guzre kal ki yahi kahani hain,
Kuch khud baraad hue kuch unki meharbaani hain.
