SMS4Life

Best funny sms text messages and jokes collection




Phir aaj koi ghazal teray naam na ho jayai

Phir aaj koi ghazal tere naam na ho jaye,
Aaj kahin likhte likhte shaam na ho jaye,
ker raha hon intezar tere izhar-e-mohabbat ka,
Isi intezar mei zindagi tamam na ho jaye,
ab to nahi leta tera naam sar-e-aam is darr say,
kahin naam tera badnaam na ho jaye,
Mangta hoon dua jab tu yaad aata hay,
K judair meray pyar ka anjaam na ho jaye.!

ta’ajub hay maut per uski koi roya tuk nahin

Ek jazba khak hua dil ki gehrayion me kahin
ta’ajjub hai maut par uski koi roya tak nahin,
sahil se to chale the sath me hamsafar banker
sagar ne duboya hum hi ko unhe to bhigoya tak nahin,
ankhon me zinda khuwab thay ya khuwab me zinda ankhen,
tutne k bad hi jana ki unhone to sanjoya tak nahin,
nadani me jinki khatir sab lutane nikle the hum
dekho humare na rehne per bhi unka kuch khoya tak nahin.

SMS4Life © 2018 Frontier Theme