Raat kya dhali sitare chala gayay,
Gairo sa kya gila jab aapna chalay gayay,
Jeet to saktay thay ishq bi bazi ham bhi,
Magar tumhe jitanay ka liya hartay chalay gayay
Khamosh se rehne lage ho
Khamosh se rehne lage ho,
intezar kisika karne lage ho,
yakinan kisise hui hai mohabbat,
tabhi bina baat muskurane lage ho…
Ashqon se nahi bujhte shole dard-e-pyarke
Ashqon se nahi bujhte shole dard-e-pyarke,
Maut bhali aisay lambe intezar se,
Marte hain roz bina dedar-e-yar ke,
Tanhahi ache the us BEWAFA ke pyar se
Bhatakte rahe hai badal ki tarah
Bhatakte rahe hai badal ki tarah,
seene se lagalo aanchal ki tarah,
gham ke raste pe na chodna akele,
warna tut jaynge payal ki tarah.
Koi achhi si saza do mujhko
Koi achhi si saza do mujhko,
chalo aisa karo bhula do mujhko,
tumse bichron to maut aa jaye,
dil ki gehraiyon se aisi dua do mujh ko.
Gunah karke saza se darte hain
Gunah karke saza se darte hain,
zahar pee ke dawa se darte hain,
dushmano ke sitam ka khauff nahi,
hum toh doston ki wafa se darte hain..
Koi achha lage to use pyar mat karna
Koi achha lage to use pyar mat karna,
uske liye apni ninden bekaar mat karna,
2 din to aayenge khushi se milne,
teesre din kahenge mera intjar mat karna…
Zindagi dene vale marta chod gye,
Zindagi dene vale marta chod gye,
apnapan jitane vale tanha chod gye,
jab padi zarurat hume apne humsafar ki
vo saath chalne vale apna rasta hi mod gaye …
Kisne meri kabar par aake diya jala diya
Kisne meri kabar par aake diya jala diya
Bijli kadak ke gir padi sara chaman jala diya
Chain se so raha tha main odhe kafan majar par
Yahan bhi satane aa gaye, kisne pata bata diya
Unhone dekha aur aansu gir pade,
Unhone dekha aur aansu gir pade,
bhari basant mein jaise phul bikhar pade,
dukh vo nahi ki unhone hamein alvida kaha,
dukh toh yeh hai ki uske baad woh khud bhi ro pade.
