Kahan se loon ab hunar usay mananay ka,
k koi jawaz na tha us k rooth janay ka.
Mohabbaton mai saza mujhay he milni the,
k jurm men ne kia raabtay barhanay ka…
Gulshan main us bahar k hakdar hum nahe
Mana teri nazar main tera pyaar hum nahe,
kaise kahen k tere talabgaar hum nahe,
khud ko jala k khak kar dala,mita diya,
lo ab tumhari raah main dewaar hum nahe,
jis ko sanwara humne tamannaon k khoon se,
gulshan main us bahar k hakdar hum nahe
Wo tere liye KHAS kyun hai
Aaj phir doston ne mujhse pocha
K tera hasta hua chehra UDAS kyun hai?
Barsti aankhonn mein piyas kyun hai?
Jinki nazro mein tu kuch nahi
Wo tere liye itna KHAS kyun hai
Sans bhi to teri yaad k baad aati hai
Sans lainay se teri yaad aati hai,
Yaad aanay se meri jaan jati hai,
Kaise kehdoon k sirf sans se zindagi he,
Sans bhi to teri yaad k baad aati hai,
Jitna bhi kisi ko apna bana lo
Pyar kisi se jo karoge ruswai hi milegi,
Wafa kar lo chahe jitni,behwafai hi milegi
Jitna bhi kisi ko apna bana lo,
Jab aankh khulegi tanhai hi milegi
Miley aaj tumhein woh khushiyan k
Har ek sajda maqbool-e-khuda ho jaye,
Teri DUAON k sang rab ki raza ho jaye,
Miley aaj tumhein woh khushiyan k,
Hazaron sal tak ghum tujh se khafa ho jaye
Rishta koi bhi ho use aisay nibhao
Koshish karo k koi tum se na roothay,
Zindagi main apno ka sath na chootay,
Rishta koi bhi ho use aisay nibhao,
K us rishtay ki dor zindagi bhar na totay.
Meri chahatain tumse alag kab hain
Meri chahatain tumse alag kab hain,
Dil ki batain tumse chupi kab hain,
Tum sath raho dil main dharkan ki jaga,
Phir zindagi ko sanson ki zarorat kab hai,
Koi gham nahi magar dil udas hai
Koi gham nahi magar dil udas hai,
Tujh se koi rishta nahi phir bhi ek aas hai,
Kehne ko bohut apnay magar tu ek khas hai,
Zyada emotional na hona uper sub bakwa hai:D
Aaj jab dard hua to wo bahot yad aya..
Aaj rootha hua ek dost yaad aya,
acha guzra hua kuch waqt yad aya,
jo mere dard ko sine me chupa leta tha,
aaj jab dard hua to wo bahot yad aya..
