SMS4Life

Best funny sms text messages and jokes collection




Chalo aik sath chaltay hain

Zamanay ko jalnay do chalo aik sath chalte hain,
Nayee duniya basanay ko chalo aik sath chalte hain,

Hamain jeevan ka her lamha tumhare naam kerna hai,
Yeh waada nibhanay ko chalo aik sath chalte hain,

Suna hay mil k chalne se muqaddar jaag uthte hain,
Yeh baat aazmanay ko chalo aik sath chaltay hain,

Ek rishta jo abhi ban raha tha

Ek rishta jo abhi ban raha tha ,
Tutne laga magar banne se pahle.

Ek sahare se uthate the ham,
Gir gaye magar sambhalne se pahle.

Sikhane lage the aap se muskurana,
Rula diya magar hasne se pahle.

Kadam jo badhen aap ki disha me,
Ruk gaye wahi chalne se pahle.

Magne ke liye kuchh jo jholi phailai,
Khich liya haath kuchh dene se pahle.

Hamne jo jalaye ummido ke chirag,
Bujh gaye magar jalne se pahle.

Kya yahi arth hota hai rishto ka?
Tutana hota hai inhe banne se pahle.

Lub pai aati hai dua ban kay tamanna meri

Meray Allah larai se bachana mujh ko,
Aur sikha day koi banduk chalana mujhko!

Khair se laut k ayain meray abbu ghar main
Urr na jain woh dhamakay sai kahin daftar main !

Raat din jaam traffic na rahay sarkon per
Koi nala na gatar bhar kar bahay sarkon per!

Qalma gawaion ko musalman banaday yarab
Naik aur saheb-e-iman banaday yarab !

Naam-e-Islam ki hurmat ko bachalay yarab
Waqt kai sarazy yazidon ko uthalay yarab

Lub pai aati hai dua ban kay tamanna meri

Kisi se pyar kertay ho

Kahan dil chor aye ho,
bohut chup chap se rehtay ho,

Na bante ho na sanwarte ho
na koi bat karta ho

Bhari mehfil main bhi aksar
hamesha khoay rehtay ho

Udasi aankho main le kay
her ek chehre ko takte ho

Koi jab yaad aata hai to
Thundi aah bharte ho

To khul kar kion nahin kehtay
Kisi se pyar kertay ho

Mujhey tum yaad aatay ho

Mukaddar k sitaron per,
Zamanay k esharon per,
udasi k kinaron per,
kabhe veran shehraon per,
kabhe sunsan rahon per,
kabhi hairon ankhon main,
kabhi bayjan lamhon main,
tumhari yad chupkay say,
koi sargoshi kerti hay,
yeh palkain bheeg jati hain,
do ansu tot girtay hain,
main palkon ko jhukata hon,
bazahir muskurata hon,
faqat itna he kah pata hon,
mujhey kitna sataty ho,
MUJHEY TUM YAD ATAY HO,
MUJHEY TUM YAAD AATAY HO..

Apni yaden, apni batain lay ker jana bhool gaya

Apni yaden, apni batain lay ker jana bhool gaya,
Janay wala jaldi main tha, mil ker jana bhool gaya,

Mur, murr ker dekha tha usnay jatay rastay main,
Jesay usnay kehna tha kuch, jo wo kehna bhol gaya,

Waqt-e-rukhsat meri ankhain ponch raha tha anchal se,
usko gham tha itna ziyadah, khud wo roona bhool gaya

Aisa kabhi na karna

Tum roth jao mujhse, Aisa kabhi na kerna,
Main ik nazar ko tarsoon, Aisa kabhi na kerna,

Main poch poch haron, so so sawal kar k,
Tum kuch jawab na do, Aisa kabhi na kerna,

Main kisi roz tum ko sada dun,
Aur tum na aao, aisa kabhi na karna,

Tum chaley jao jab bhi to dekhon tumhara rasta,
Tum loat k na aao, Aisa kabhi na karna….!!

Kaisay kahon k apna bana lo mujhey

Kaisay kahon k apna bana lo mujhey,
Bahoun main apni sama lo mujhey,

Bin tumharay ek pal bhi kat-ta nahin,
Tum aa ker mujh se chura lo mujhey,

Zindagi to wo hai sang tumharay jo guzray,
Duniya k ghamoun se ab chura lo mujhey,

Mere sab se gehri Khuwahish ho puri,
Tum agar pas apnay bula lo mujhey,

Yeh kaisa nasha hai jo behka raha hai,
Tumhara hon main tu phir sanbhalo mujhey,

Najanay phir kaisay guzray gi Zindagani,
Agar apnay dil se kabhi tum nikalo mujhey.

Wo yar hamara kaisa hai ?

Aye moj-e-hawa,Ab tu hi bata,
Wo yar hamara kaisa hai?

Jo bhool gaya hum ko kab se,
Wo jaan se pyara kaisa hai ?

Kia us ko jeewan lamho mein,
Koi lamha mera baqi hai ?

Kia uski jaagti aankhon main,
Meri yaad se phaili udasi hai ?

Kia wo bhi meri tarah yun hi,
Shab bhar jaga kerta hai ?

Kia wo bhi saya-e-rehmat main,
Hamain RAB se manga karta hai ?

Agar aisa nahi to tu hi bata,
Hum yaad use Kion kertay hain ?

Wo humse bicher ker khush hai agar,
To hum pal pal kion marte hain ?

New quomi tarana of Pakistan

Lab pai aati hai dua ban k tamanna meri,
zindagi bomb sai ho mehfoz khudaya meri!

Main jo daftar k liye ghar se nikal ker jaon,
Roz marrah ki tarha khair se wapas aaon!

Na koi bomb k dhamakay se uradaye mujh ko,
muft main jaam-e-shahadat na pila de mujh ko!

Jo urdaday mujhay khudkash to doain dunga,
bay wazu hokay chacha bush ko doain donga !

Biwi bachon ko meri jan ki qeemat mil jai,
bethay bethay meray ghar walon ko daulat mil jaye!

Hain jin logon se kal tak thee watan ki zenat,
aaj woh log hoay qabar-o-kafan ki zenat !

Ghar mera hogaya viranay ki soorut yarab,
Aur badli na kisi thanay ki soorat yaarab !

In pai jaiz hai zabardasti hukumat karna,
Aur hai jurm mujhey apne hifazat karna!

Rozi hum sub ki bacha roz ki hartalon sai
Jan aur maal ho mefoz police walon sai!

Jub na schol khulain gay to perhain gay kaisay,
Aur zinda na rahaingay to barhaingay kaisay !

SMS4Life © 2018 Frontier Theme