Din dhal gaya,
Phir Raat aa gayi,
Phir Tanhaii mein baithne ki baat aa gayi,
Chand ko dekha to aap ki Yaad aa gayi.
Tag: poetry sms
Aankho se barsat hoti hai
Aankho se barsat hoti hai,
jab apki yaad sath hoti hai.
Jab b busy rahe mera mobile,
samjh lena apki salamti k liye
meri khuda se baat hoti hai.
Woh ghair ho k bhi kitnay apne hain…
Palkon main qaid kuch sapne hain,
Kuch bayganay kuch apne hain,
Na janay kia kashish hai in khayalon main,
Woh ghair ho k bhi kitnay apne hain…
Bhule hai woh kuch iss qadar humein
Bhule hai woh kuch iss qadar humein,
Ki unhe samjhana bhi mushkil ho gaya,
Kya pata koi khata ho gayi humse,
Ya koi aur unke Zyada qareeb ho gaya.
Log har manzil ko mushkil samajhte hai
Log har manzil ko mushkil samajhte hai,
ham har mushkil ko manzil samajhte hai.
Bada fark hai log aur hamare nazarie me,
log dil ko dard aur ham dard ko dil samajhte hai..
Agar isi tarah bhool hi jaana tha
Kaash woh naghmay hamain sunaye na hote,
Aaj unko sun kar yun aansu aaye na hote.
Agar isi tarah bhool hi jaana tha,
To itni gehrai se dil me samaye na hote.
Kyu dil k mere tukray kar diye
Kyu dil k mere tukray kar diye,
kyu mere aansu ko apni muskan sey baha diye,
gunah kya tha mera bus chahna tumhain,
kyu meri zindagi me tune dard bhar diye
Zakham aisa diya k koi dawa kaam na aayi
Zakham aisa diya k koi dawa kaam na aayi,
aag aise lagayi ki paani se bhi bhuj na payi,
aaj bhi rote hain unki yaad main,
jinhe hamari yaad hamare guzar jane par bhi na aayi
Zindagi ka asli mukam abhi baki hai
zindagi ka asli mukam abhi baki hai,
hamare iradon ki imtihan abhi baqi hai,
abhi to naapi hai muthi bhar zameen,
aage sara asman baki hai…
Tujh per ghazal keh doon
Tairi jheel si gehri aankhon
ko jo neel-e-kanwal keh doon,
Duniya jal jayai gi,
jo tujh per ghazal keh doon…
